Bair Ke Faide In Urdu Jujube Benefits In Urdu Bair Fruit In Hindi Fawaid

Jujube Benefits In Urdu Bair Ke Faide In Urdu: Bair ko baaz log ghareeb ka saib kehtay hain jo khuch zayada ghalat nahin kyoun keh ye nisbatan sasta aur har dil azeez fruit hai aur ye phal ber intihai lazeez hai. Bair ko english mein Jujube fruit kehte hain is ki 3 types hain. Paiwandi Bair: Is qisam ke bair baray khush zaiqa hote hain ye oper se sabz aur in ka guda safaid hota hai inhain paiwandi bair is liye kehte hain keh in bairon ki qalam lagai jati hai is ke darakht ko jujube seeds ke zariye se nahin boya jata.

Tukhmi Bair

Takhmi bair ko kathay bair bhi kaha jata hai in ki shakal gol hoti hai in ka rang surkh hota hai paiwandi ke muqablay mein ye bair chotay hote hain in ka taste khata mitha hota hai inhain takhmi is wajah se kaha jata hai keh inhain beej bo kar hasil kiya jata hai.

Jangli Bair

Teesri type jangli hai isay jhar berry bhi kehte hain ye bair bohat chotay hote hain in ka size matar ke danon ke barabar hota hai is mein mithas se zayada tarshi hoti hai ye berry aam tor par pahari alaqon mein payi jati hai un ki jhariyon ko bakriyan bare shoq se khati hain.

Bair Ke Fayde In Hindi

Dast Aur Peechas

Bair nazam hazam ke liye bohat mufeed hai is ke istemal se meday aur anton ki kamzoori door ho jati hai bair ko bhon kar dast aur pechas ki shikayat mein istemal karatay hain is ke ilawa jangli berry ki jar 12 gram aur kali mirch 7 adad pani mein pees kar din mein 3 baar palane se pechis aur maroor dor ho jati hai sukhay hue bair khane se bhi dast band ho jate hain.

Aanton Ke Keeray

Baaz auqat bachon aur baron ki aanton mein keeray hote hain jis ki wajah se un ki sehat kharab rehti hai un keeron ko kharij karne ke liyemeethay beeron ko pees kar un ka pani 24 gram se 138 gram tak ki maqdar mein pilana mufeed hota hai is ke istemal se keeray kharij ho jate hain.

Khoon Ki Safai

Bair fruit ke istemal se khoon saaf ho jata hai is ke zehreelay maday kharij ho jate hain rozana 8 - 10 bair khane se chehre ke dagh dhabay saaf ho jate hain aur chehra surkh aur tar o taza nazar ata hai.

,

No comments:

Post a Comment