Miswak Ke Faide In Urdu
- Miswak mein jaraseem khatam karne wale maday paye jatay hain jo jaraseem ke khilaf mustaqil jang karta rehta hai danton mein mojood khuch jaraseem sirf miswak karne hi se mar jatay hain.
- Hazrat Ali R.A ka qol hai (Miswak Se Dimagh Tez Hota Hai), jadeed tehqeeq ne sabit kiya hai keh miswak mein phosphorus mojood hota hai jo danton ki ghaza bhi hai aur peelu ki miswak mein phosphorus sub se zayada hota hai.
- Miswak mein mojood ras jo zara sa karwa hota hai woh galay ke amraz se bachata hai.
- Maswak mein mojood madah munh ki badbu door karta hai.
- Miswak ka musalsal use daimi nazla zukam se bhi nijat dilata hai.
- Miswak ke istemal se tonsels aur munh ke chalon ka masla bhi hal ho jata hai.
- Miswak ko zayada mufeed banane ke liye isay rozana cheel liya jaye. Jadeed tehqeeq ne is baat ki tasdeeq ki hai keh brush ko aik martaba istemal karne ke baad agli martaba tak us ki teh mein be shumar jaraseem baith jate hain jo kisi surat mein bhi khatam nahin hote, chahe woh brush kitna hi ala quality ka aur mehnga ho, tez brush ka mustaqil istemal danton par mojood chamak ki teh ko zail kar deta hai. Mazeed ye keh danton ke darmiyan brush se fasla paida ho jata hai.
Health
No comments:
Post a Comment