Blueberry Benefits In Urdu Blueberry Ke Faide In Hindi Blueberry For Memory

Blueberry Benefits In Urdu Blueberry Ke Faide In Hindi: Burhapay mein yadasht kamzoor hona aik bohat bara masla hai ye bara takleef deh marhala hota hai jub koi qareebi azeez aa kar bazurgon se milta hai aur woh pehchan nahin pata hai keh ye fard mera beta, pota, beti ya behan bhai mein se koi hai.

America ki aik university mein haal hi mein is hawalay se aik tehqeeq ki gayi aur is ke musbat nataiz samne aye hain jis se maloom hua keh blueberry ka istemal se memory behtar hoti hai hafza tez hota hai blueberry use karne se alzymer ke marz se bachao bhi mumkin hai.

Scientists ne ye nataiz 68 saal ke 47 afrad par tehqeeq aur tajarbat ke baad akhaz kiye hain ke blueberry ka safoof alzymer ke mareezon ke ilaj mein madad deta hai.
Blueberry ke safoof ke istemal karne walon ki dimaghi karkardgi mein behtari ayi un ki yadasht bhi behtar hoi balkeh un ki cheezon ko pohanchne ki salahiyat bhi behtar hoi in tajarbat ki kamyabi ke baad ab scientits kam umar afrad par bhi yadasht mein izafay ke tajarbat karne ka mansooba bana rahe hain.

,

No comments:

Post a Comment