Medical Health Benefits Of Akhrot Ke Fayde In Hindi
- Aik tehqeeq se sabat hua hai keh haftay mein kam az kam 4 ya 5 akhrot khanay wale sugar ki type 2 ke khatrat se kafi had tak mehfooz rehte hain.
- Doran hamal walnut ka istemal maa ke blood pressure ko normal satah par rakhta hai aur is ke ilawa paida hone wale bachay ki ankhon aur dimag ke liye mufeed hai kyoun ke is mein mega 3 fatty acid hain.
- Maghaz akhrot dama khansi aur galay ki kharash mein bohat mufeed hota hai.
- Sardiyon ke mausam mein joron ke dard aksar takaleef ho jati hai akhrot ka tail istemal karne se joron ke dard mein kami hoti hai.
- Walnut oil use karne se sar mein juon aur khushki se nijat milti hai.
- Akhrot ka istemal falij aur tashnaj mein mufeed rehta hai.
- Dagh dhabon ki surat mein akhrot ko pees kar pani mein daal kar aik paste banayain aur dagh dhabon par lagayain is tarah karne se dagh madham ho jate hain akhrot dil aur doran khoon ke nazam mein bhi faida mand hai.
- Pait ki charbi kam cancer ke mumkina hamlay ko rokta hai dekhiye kitnay aham asrat insanon ke liye is mein shamil hain.
Health
No comments:
Post a Comment