Kachnar Meaning In English Urdu Benefits Kachnar Faide Kachnar Benefits Hindi Kachnar Tree

Kachnar Ke Faide In Urdu Bauhinia Vegetable In Hindi Kachnar Benefits In Urdu: Kahnar ko english mein kya kehte hain? isay english mein Bauhinia kehte hain Isay punjabi mein kachnar, sindhi mein kachnar aur urdu mein bhi kachnar kehte hein. Mausam bahar ki aik umda sabzi hai jo darasal aik darakht ki kaliyan hein jab ye phool ban jati hein to behad mazedar hoti hein. In mein kisi qadar karwahat hoti hai is ki phaliyon ka achar bhi banaya jata hai. Namkiyat aur vitamin C is ke ajza hein kaliyon ko saaf kar ke gosht ke hamrah pakaya jata hai magar isay pakane mein ghee ka zayada istamal zaroori hai. Aik pao ghee, adha sair gosht mein aik pao kachnar pakana munasib hai is ki kali itni khubsurat aur nazuk hoti hai ke kunwari do sheza ki misal shayar sadiyon se is kali se de rahe hein.

Bawaseer mein kachnar ka istamal behad mufid hai aur bawaseer ko khatam kar deti hai. Wo khawateen jinhein zayada haiz ata ho un ke liye kachnar se barh kar koi sabzi nahin. Stomach  ko taqat deti hai jism ko taqatwar banane aur khoon ko saaf karne mein lasani hai. Pait ke kere kachnar khane se halak ho jate hein aur jism se kharij ho jate hein. Jaryan ke marizon ke liye kachnar khana behad faida mand hai is ke ilawa mun pak jaye tou kachnar ka joshanda istamal karne se zuban aur munh ke zakham darust ho jate hein.

Sangarhani ke marizon ko kachnar behad faida deti hai anton ko kachnar aur iska achar taqat deta hai aur isay khane se ishal band ho jate hein is ki kaliyon ka salan bawaser, khansi aur ishal ke liye akser hai. Kisi ko kanch nikal ati ho tou kachnar khane se faida hota hai. Amraz zanana mein bhi kachnar sab se behtar aur kamyab dawa hai. Kandh mala, tabkher ki bemari mein ise khane se shifa hasil hoti hai. Kachnar khane se phore phansiyan khatam ho jati hein.

Peshab ke har marz mein kachnar sab se kamyab dawa hai kachnar dair hazam hai. Pait mein ubhar paida karti hai isay adrak aur garm masala ke baghair hargiz istamal nahin karna chahiye. Darakht kachnar, darakht toot ke barabar hota hai aur basant ke mausam mein phalta phoolta hai. kachnar ka english meaning bauhinia hai kachnar leaves yani patte taqriban gol nok ki taraf do barabar hison mein chiray hote hein.


, ,

No comments:

Post a Comment