Roza In Pregnancy In Urdu Fasting During Pregnancy In Islam

Roza In Pregnancy In Urdu Fasting During Pregnancy In Islam: Sawal Woh aurat jo haamla hai aur dr ney kaha hai roza us k liye muzir hai kya wazifa rakhti hai?

Jawab Woh aurat jis kay wiladat ka waqt qareeb hai ( aathwan ya nawan maheena ) aur roza us ke liye ya us kay bachay ky liye muzir hai, is par roza wajib nahi hai, lekin baad mein qaza wajib hai, aur har roz ke badlay 750 gram aatta, gheehon, ya chawal kafaray ke tor pey faqeer ko day gi.

Lekin woh aurat jis ke hamal ke aakhri mahinay nah hon ( pehlay mahinay se satwen mahinay taq ) agar roza is ke liye ya is ke bachay ke liye muzir ho ya mushaqqat ka baais ho jo mamoolan ghair qabil tahhaamul ho to roza is pey wajib nahi hai baad mein qaza karegi, lekin kaffara wajib nahi hai.

Sawal Bachay ki pidaaish se le kar is ko doodh pilanay ke arsay tak jo rozay qaza kiye hain, inhen kis terhan ada karoon, kya kamzoree mein bhi saaray rozay rakhnay parain ge?

Jawab Kamzori mein jitna rakh sakti hain itna rakhna zurori hai, aur jin mward mein kaffara zurori hai kaffara de gi.

Sawal Jo aurat bachay ki pidaaish ki wajah se roza nahi rakh sakti usay kitna kaffara dena parre ga?

Jawab Rozana ke hisaab se 750 gram aatta ya gheehon ya chawal faqeer ko day gi.

Sawal Kya agar haamla aurat ramadaan al mubarak mein koi boojh mehsoos kare to kya woh roza chorr sakti hai?

Jawab Yeh janna zaroori hai keh har boojh aur takleef aur thakawat ya mushaqqat aisa azar shumaar nahi kiya jata jis ki bana par ramadan ka roza chhorna Mubah ho kyun k roza mushaqqat aur thakawat se khali nahi par yeh mushaqqat kam jis ka insaan ghaliban aadi hota hai.
to is bana par jab haamla aurat khuch takleef aur boojh mehsoos kare to us ki do halatain hain:

Pehli Halat Takleef itni kam ho keh us ke liye roza ghair aadi aur shadeed mushaqqat ka baais nah ho, aur usay apne aap aur pait mein bachay ke liye koi khatra na ho tou is soorat mein us par roza rakhna wajib hai, aur us ke liye roza chhorna jaiz nahi.

Dusri Halat Mushaqqat shadeed ho ya phir usay apne aap ya apne bachay ko zarrar pounchanay ka khatrah ho, to is soorat mein us ke liye roza chhorna afzal hai, aur baaz auqaat roza chhorna wajib ho ga.


,

No comments:

Post a Comment