Pak Tea House In Urdu Maal Road Lahore Address And Timings

Information Of Pak Tea House Urdu History: Ye tarikhi imarat Lahore mein maal road par waqay hai jo ke neela gunbad ke qareeb aur aanar kali bazaar ke baahiri hissay ki janib waqay hai. Pak tea house ke samnay ki janib Punjab university hai, dayen janib king edward medical college hai aur baen janib AG office ki janib janay wali sarrak nazar aati hai aur agar hum pechay ki janib dekhen to ye am si purani building hamein khari nazar aeye gi.

Kaha yeh jata hai ke 1940 mein aik sukh boota singh ne India Tea House ke naam se yeh chaye khana shuru kiya tha. Taqreeban 4 saal is chai khanay ko chalanay ke bawajood bhi boota singh ki is chaye khanay se amdan nah honay ke barabar thi jis se butta singh ka dil is chaye khanay se achat ho gaya aur woh is ko baichnay ke baray mein sochnay laga. Us zamane mein boota singh ke chaye khanaay mein 2 sikh bhai jo government college ke student they apne doston ke hamrah aksar chaye peenay atay they 1940 mein yeh dono bhai government college se graduation kar chuke they aur kisi karobar ke mutaliq soch rahay they ke aik roz is chaye khanah par baithy, is ke maalik boota singh se baat chal nikli aur boota singh ne ye chaye khana un ko beech diya.

Lahor ke mashhoor chaye khaanoon mein sab se mashhoor chaye khana Pak Tea House tha jo aik adbi, tehzibi aur saqafati alamat tha pak tea house shayaron, adeebon, naqaad ka mustaqil garh tha jo saqafati, adbi Mahafil ka ineqad kiya karti thien. Us zamane mein Pak Tea House mein bethnay walay adeebon aur shayaron mein se siwaye chand aik ke baqi kisi ka bhi koi mustaqil zareya muaash nahi tha kisi adbi perchy mein koi ghazal, nazam ya koi afsana likh diya to 15 - 20 rupee mil jatay they lekin kabhi kisi ke lab par tangi muaash ka shikwah nahi tha agar shikwah karte they to mehboob ki be wafai ka woh bhi apni shairi mein. Faiz Ahmed Faiz , Ibn Insha , Ahmed faraz, jese mashoor shayar Pak Tea House ki jaan thay.

Sahir Ludhianvi Bharat ja chuke they aur wahan filmi geet likh kar apna naam kama rahay they  us waqt ke shayar aur adeeb apne apne takhleeqi kamon mein magan they adab apne urooj par tha us zamane ki likhi hoi gazlain, nazmein, afsaanay aur mazameen aaj ke urdu adab ka qeemti sarmaya hain us zamane ki boi hui zarkhez fasal ko hum aaj kaat rahay hain.

Pak tea house kayi nasheeb o faraz se guzra aur kayi martaba band ho kar khabron ka mauzo banta raha arsa daraaz taq ahal qalam ko apni aghosh mein panah dainay ke baad 2000 mein jab tea house ke maalik ne isay band karne ka elaan kiya to adbi halqon mein tasweesh ki lehar dorr gai aur ahel qalam ne baqaida is faislay ki muzahmat karne ka elaan kar diya.

Darasal tea house ke maalik ny ye bayan diya tha ke mera tea house mein guzara nahi hota mein koi dosra karoobar karna chahta hon adbi tanzeemon ny mushtarqa bayan diya ke tea house ko tairon ki dukaan ban'nay ki bajaye adeebon ki baithak ke tor par jari rakha jaye kyun kay is chai khanay mein krishan chandar se leker Saadat hassan manto taq adbi mahfilen jamatay rahay.

Adeebon aur shairon ne is chai khanay ki bandish ke khilaaf muzahira kiya aur yeh case adalat mein bhi gaya aur baaz aalmi nashriyati idaron ne bhi ehtijaj kiya aakhir kaar 31 decemeber 2000 ko yeh dobarah khul gaya aur ahal qalam yahan dobarah bethnay lagey lekin 6 saal ke baad may 2006 mein yeh dobara band ho gaya is baar adeebon aur shayaron ki taraf se koi khaas ahtijaj dekhnay mein nahin aaya.

Miyan Nawaz Sharif ne bil akhir 23 March 2012 ko Pak Tea House mein chai pi kar aur is ka iftitah kar ke adeebon aur shayaron ke liye is ke darwazay aik baar phir khol dyie. Aaj kal pak tea house mein adeeb aur shura to kam hi nazar atay hain albata dopehar 11 baje se shaam 5 buje taq laila majnu, sheree farhaad, sassi panno aur heer raanjha apni apni sargoshiyon mein mashgool rehtay hain.

No comments:

Post a Comment