Danoton Ki Safedi Bahaal Karne Ka Aasaan Totka Daant Safed Karne Ka Tarika In Urdu: Safaid danton ki chamak se apni muskurahat ko jagmagana kis ki khwahish nahi hoti aur la tadaad afraad is maqsad ke liye hazaron rupay dentist ko de kar un ki safai bhi kerwatay hain magar kya aap is fori kaam karne walay is gharelo nuskhay ko aazmana pasand karen ge?
Dar haqeeqat motiyon jaisay chamaktey daant to aaj ke daur mein khoubsurti ke maloomat mein shaamil ho chukay hain jaisay balon ko rangwana waghera.
Magar achi baat yeh hai ke apni muskurahat ko jagmagane ke liye aap ko bohat ziyada kharcha karne balkay kisi qisam ke kharchay ki zaroorat nahin.
Jee haan mehez maaltay ka chilka aap ke danoton ko chamkanay ka sasta tareen aur qudrati tareeqa hai. Maaltay ke chilkay ko apne danoton par ragadnay se inhen motiyon ki terhan chamkana mumkin hota hai.
Tursh phal jaisay maaltay, lemoo waghera ke chilkon mein aik qudrati tail ka juz d-limonene mojood hota hai jo danton ko chamkanay mein madadgaar saabit hota hai aur chunkay maaltay ka chilka phal ki terhan tezabi khoobiyan nahi rakhta is liye danton ki satah mein farsoodgi bhi peda nahin hoti yani woh mazboot rehtay hain.
Taham maalton ke chilkon se danoton mein peda ki janay wali safedi tadair barqarar nahi rehti taham is se koi nuqsaan bhi nahin balkay yeh daagh dhabbon ki safai bhi karta hai.
Taham is nuskhay ko azmaane ke liye chilkon ko achi terhan zaroor dho len jabkay danoton par chilkay ragadnay ke baad danoton par aik baar brush ya kuliyan bhi zaroor karlen.
Beauty Tips
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment