Islam In China In Urdu Cheen Mein Islam Ki Tareekh China Mein Islam Kab Aaya

China Mein Islam Kab Aaya: China mein aam mazhab budh paraston ka hai magar yahan aqliat mein hi sahi Musalman rehtay hain. Mukhtalif zaraye China mein Musalmanoon ki mukhtalif tadaad ka andaza karte hain mahireen ke mutabiq yahan ki kul abadi ka 2 feesad Musalman hain jo ke yahan kay har shehar mein paye jatay hain. China ke Musalman koi ajnabi tarz ki makhlooq nahi hain balkay woh log apne mulk se be hadd pyar karte hain aur cheeni muashray ke sath musalsal talluq mein hain aur cheen ke zimma daar aur pur aman shehri hain.

China Mein Islam Ki Tareekh
Yahan Islam pichlle 1400 saloon se hai yani Nabi Pak SAWW ke zamane se cheen Islam se roshnaas ho gaya tha. Khalifa soum Hazrat Usman R.A ke zamane mein aik sahaba Saud Ibn Abi Waqqas yahan Islam ka pegham le kar aye thay yeh 650 baad az maseeh ka zamana tha. Guanzhong ke badshah ne Islam qabool kiya aur aik masjid bananay ka hukum diya jo china ki pehli masjid thi jo aaj duniya ki qadeem tareen masajid mein se aik hai.

Kuch logon ka kehna hai ke Saud Ibn Abi Waqqas bazat khud nahi aaye thay balkay Islam yahan Musalman tajaron ke zariye phela tha. Sang ke daur mein Musalmanon aur cheeniyon ke darmiyan tijarat zoor o shor par thi yahan Islam ki anay ki aik wajah yeh bhi kahi jati hai. Badshah ne us waqt aman ke khayaal se bukhara se 5300 Musalmanon ko bula kar abad kiya aur is ke shehzaday ne Islam qubool kar ke apna naam shehzada aamir syed rakha usay cheen ke Musalman china mein Musalmanon ke baap ke tor par jantay hain.

Changaz Khan ke zamane mein Musalmanoon par bohat mushkil daur aaya tha janwar halal kar ke zibah karna un ke liye mamnoo ho gaya tha khuch Musalman chhup kar bhedon ko halal karte yahodi aur Muslims ko Changaz Khan ghulam kehta tha phir aik Musalman general han chai neez mangolon ke khilaf chalay gaye aur Musalmanoon ko azad karwaya.

,

No comments:

Post a Comment