Turkey Urdu History Turkey Ki Tareekh Turkey Country In Hindi


Turkey History In Urdu: Turkey ki tareekh bari purani hai kaha jata hai ke yahan patharon ke daur se log abad hain. Turkey mein qabal az tareekh ke zamane ke assaar mlitay hain yahan ki history kansi ke zamane se shuru hoti hai. Us daur ko kansi ka daur is wajah se kaha jata hai ke us zamane mein alaat aur bartano ka bara hissa kansi se banaya jata tha. Us daur mein hatiyon ne Anatolia mein qadam jamanay shuru kar diye. Ye indo european nasal ke kisaan they unhon ne anatolia ke alaqay mein aik azeem saltanat qaim ki. Un ke qawaneen ma'asar tehzeebon ki nisbat zayada ensaan dost they, hatiyon ka mazhab mushrikana tha jis mein woh mutadid khudaon ki parastish kiya karte they. Badshah ko pujariyon ka sarbarah maana jata tha hati saltanat 1400 qaaf meem ke lag bhag apne urooj ko pohanchi aur aahista aahista usay zawaal aa gaya aur us ki jagah mutadid tehzeebon ne le li.

Us poooray arsay mein Turkey ke mukhtalif ilaqon mein choti choti rayasatain qaim rahein maghrib ki janib se ye unani aqwam ke zair asar raha jab kay mashriqi janib se ye Iraq ki qadeem saltanaton ke zair asar raha us zamane mein maghribi turkey mein ionia tahazeeb aur traye ki tahazeeb ghalib rah.

Phir Hazrat Dawood A.S ke daur ka aaghaz howa Quran Majeed ke mutabiq Allah Ta'ala ne Un ke haath mein lohay ko naram kar diya tha jis ke bais unhon ne lohay ki wasee saltanat qaim ki. Un ke betay Hazrat Sulaiman A.S ke zamane mein lohay ke ilawa deegar qisam ki sanaton ne ghair mamooli taraqi ki. Hawaon ko maskhar kiya gaya, samandar ke khazanon ko talaash kiya gaya, azeem al shan emaratein taamer ki gayein Un ki saltanat mein scienci taraqi ka ye aalam tha ke Yemen jaisay taraqi Yafta mulk ki malka bhi un ke mehal mein pohanch kar khud ko dehati sa mehsoos karne lagi ye taraqi Israel se nikal kar deegar qaumon taq bhi pohanchi.

Us daur mein maghribi Turkey ludya ki saltanat aur mashriqi Turkey Iran ki munshi saltanat ke zair asar aa gaya. 336 qaaf meem mein is ilaqay ko Unan ke Sikandar ny fatah kar liya magar us ke janasheen itni barri saltanat ko sambhaal nah sakay aur yeh tukron mein taqseem ho gayi is ke kuch arsay baad romeo ko urooj naseeb howa aur un ke fatheen ny poora anatolia fatah kar ke usay room ka hissa bana diya. Ibtida mein yeh aik jamhoori hukoomat thi lekin baad mein yeh badshahat mein tabdeel ho gayi unhon ne turkey ke ilawa mojooda shaam, urdan, Palestine aur misar par qabza jama liya.

Roomi daur mein lag bhag is poooray ilaqay ki aksariyat Esai mazhab ikhtiyar kar chuki thi. 330 eeswein mein Roomi shenshah qustanteen ney Esaiyat qubool kar ke usay sarkari mazhab qarar diya yehi woh badshah hai jis ne mojooda istanbul ke maqam par azeem shehar qustuntinia basanay ka hukum diya jo is ka darul hakumat (rajdhani) qarar paaya. Is se pehlay yeh aik chhota sa shehar tha jo bazanteen kehlata tha.
Satwein sadi ke douran Musalmanon ne shaam aur mashriqi turkey ko fatah kar liya jis ke nateejay mein Roomi saltanat sirf anatolia ke maghribi ilaqon taq mehdood ho gayi. 1037 mein is ilaqay mein Tugrul baig ne saljoqi saltanat ki bunyaad rakhi. Mashriqi aur wasti anatolia par saljoqon aur maghribi turkey par romnon ki hukoomat rahi. Saljoqi saltanat ke zawaal par is ki baqyat se usmani turkoon ny janam liya aur mashriqi turkey par apni hukoomat qaim kar li.

Musalmanoon ny ibtidayi fatoohat he mein mojooda turkey ke mashriqi ilaqon ko apne zair asar kar liya tha lekin anatolia ke wasti ilaqay 9th century mein  saljoqon ki aamad tak Muslim riyasat nah ban sakay. Saljoqiyon ke zawaal ke baad turkey ke siyasi manzar naamay par usmani ubhray jinhon ny Islami tareekh ki sab se azeem riyasat "saltanat e usmania" tashkeel di.

,

No comments:

Post a Comment