Shahab Saqib Meaning In Urdu Information Shahab e Shaqib History: Dumdar Sitara In Urdu - Garmiyon ki saaf raton mein kabhi kabhar aap ne dekha ho ga ke aasman se aik tara toota aur aik taraf roshni ki taiz lakeer chhorta howa gayab ho gaya. yeh roshni ki lakeer bananay wali cheez Shahab Saqib ya Meteoroid hai. Shahab ka matlab hai totnay wala sitara aur Saqib ke meaning hai roshan. Goya Shahab e Saqib ke maienay hue totnay wala roshan sitara, darasal Shahab Saqib sitaray nahin aur nah yeh sitaron ki tarhan khud se roshan hain balkay jab yeh hawa se ragar kha kar jal uthte hain to roshni dete hain, jo Shahab Saqib arji fiza mein se guzar kar zameen par aa girain unhain shahabiye ya Meteoroid kehte hain.
Zameen sooraj ke gird ghoomti hai aur agar koi shahab saqib is ke paas se guzarta hai to woh usay apni taraf khench laite hain jaisay hi yeh zameen ki taraf girta hai to howa se ragar kha kar 40 meel ki bulandi par hi jal kar raakh ho jata hai kabhi aisa hota hai ke yeh mukammal tor par jal kar raakh nahin hotay aur zameen par aa girtay hain.
Duniya ke bohat se ajeeb gharon mein shahab saqib mojod hain jo duniya ke mukhtalif mulkon mein parre paye gay hain. Science danon ne inhen dekha aur woh is nateejay par puhanche ke Shahab Saqib mein taqreeban wohi dhatain aur chatanein madah milta hai jo hamari zameen par paya jata hai is ka matlab yeh howa ke kainaat mein hamari zameen jaisi aur dunyain bhi mojood hain.
Hamein raat ke waqt jo toota howa sitara nazar aata hai woh darasal Shahab Saqib ke jalne se peda honay wali taiz roshni hoti hai jo hum se taqreeban 70 meel dor 2700 meel fi ghanta hoti hai is zabardast raftaar ka nateeja yeh hota hai ke Shahab Saqib hawa ke sath ragar kha kar jal bhun kar raakh ho jata hai kyun ke is ka darja hararat bohat zayada ho jata hai bohat kam shahab saqib hamari zameen par sahi salim pohanchte hain, agar atay bhi hain to tukre ho kar.
1993 mein Canada aur America mein itnay Shahab Saqib giray ke un ka shore dor dor tak sunai diya aur log khauf o herat se dam bakhud ho gaye is se pehlay 1876 mein aik bohat bara Shahab Saqib gira jo is waqt Bartania ke ajaib ghar mein mojood hai. Ye zikar dilchaspi se khaali na ho ga ke insaan ne sab se pehlay shahabyon ka loha bhi istemaal kya tha. Zameen se loha nikaalne ka fun to insaan ne baad mein seekha, chhootey shahabyon mein pathar k ilawa taqreeban 10% loha bhi shaamil hota hai baaz auqaat un mein platinum, sona aur heera bhi mojood hota hai. America mein sab se bara Shahab Saqib 1910 mein daryaft kia gaya tha is ka wazan 14 ton se zayada tha, aik aur barray Shahab Saqib ka naam hawa weight hai jo janoobi afriqa mein gira tha, is ki shakal murabba jaisi thi, is ka wazan 60 ton tha lekin andaza hai ke shuru mein is ka wazan 100 ton se kam na raha ho ga.
30 june 1960 ko siberia ( roos ) mein insani maloomat ki hadd tak duniya ka sab se bara khatarnak shahabiya gira tha. Aag mein lipta howa aik bohat bara barq raftaar gola janglaat mein gira. Siberian railway line ke mutadid musafiron ne is ka nazarah kiya, halan ke woh is jagah se senkron meel dor tha, Shahabiyay ke girtay hi qayamat khaiz dhamakon ne rail gaari ko hila kar rakh diya dor dor tak zalzala pema alaat ne aik azeem zalzala record kiya. Dhamakon ki aawaz sawa 4 meel ke dairay mein suni gayi. Siberia mein hazaron qutbi nasal ke paaltoo hiran halaak ho gaye aur senkron khanah badosh apne khaimon samait urr kar dor ja girey herat ki baat yeh hai ke shahabiye ka malba kahin nah mila, taham jahan golah gira tha, wahan daldali zameen mein senkron barray barray sorakh they baaz log yahan shahabiye ka girna tasleem nahi karte balkay baaz to usay atom bomb ki tabah kaari khayaal karte hain halan ke 1908 mein insan abhi atomi science ki ijaad se bhi waaqif nahin tha shayad saaray ka sara shahabiya zameen par girnay ke bawajood jal kar raakh ho gaya tha.
Health
,
Information
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment