Lungs Cancer Symptoms In Urdu Phephron Ke Cancer Ki Alamat

Lungs Cancer Symptoms In Urdu Phephron Ke Cancer Ki Alamat Nazar Andaz Mat Karain: Phephron ka cancer duniya bhar mein cancer se honay wali amwaat ki sab se barri wajah hai - pehphron ke cancer mein aik tumor insani lungs mein janam laita hai aur waqt guzarnay ke sath sath is ke size mein izafah hota rehta hai is tumor ki wajah se lungs ki salahiyat aur saans mutasir honay lagti hai aam tor par hum samajte hain ke yeh cancer sirf tambaku noshi ki wajah se hota hai lekin is cancer ke lahaq honay ki aik barri wajah aloodgi bhi hai yeh cancer poooray jism mein phialta hai aur is ki kayi alamaat hain hum yahan pehphron ke cancer ki chand aam alamaat ka zikar karain ge jinhein hum umooman nazar andaz kar dete hain agar yeh alamaat kisi bhi fard mein zahir hon to usay zaroor dr se rujoo karna chahiye.

Lagatar Khansi
Baaz auqaat insaan ko aisi khansi ka saamna karna parta hai jo ruknay ka naam hi nahi leti yeh aam khansi nahin hoti balkay is ka barah e raast talluq insaan ke seenay se hota hai mustaqil jari rehne wali is khansi ka talluq sardi ya nazlay se nahin hota balkay yeh daimi hoti hai yeh khansi lungs ke cancer ki aik wazeh alamat hai aur baaz auqaat is khansi ki wajah se seenay mein dard bhi shuru ho jata hai.

Saanson Ki Kami
Phephron ke cancer ke aap ki saans par gehray asraat muratab hotay hain phephron mein maujood tumor jab barhna shuru hota hai to aap ke seenay mein pounchanay wali hawa ko mehdood kar deta hai aur yun saans lainay mein dushwari ka saamna karna parta hai yahan tak ke baaz auqaat jab aap aaraam se baithy bhi hon to bhi aap ko saans lainay mein dushwari ho rahi hoti hai umooman is haalat ka saamna seerihan charhne ke baad karna parta hai.

Sir Dard
Sun'ney mein yeh kuch ajeeb lagta hai lekin yeh haqeeqat hai baaz auqaat sir dard bhi phephron ke cancer ki wajah se hota hai jab tumor ka dabao aik makhsoos rug par barhta hai to us ka rukh dimagh ki janib hota hai ye wohi rug hoti hai jo jism ke balai hissay ko khoon faraham karti hai aur is hissay mein hamara dimagh bhi shaamil hota hai.

Bone Aches
Phephron ka cancer hadiyon mein dard ka baais bhi banta hai lekin is ka matlab hargiz yeh nahin hai ke cancer hadiyon mein phail raha hai taham cancer ki wajah se hadiyon par dabao barhta hai aur un mein soozish bhi peda hoti hai yeh haddiyan poooray jism ke kisi bhi hissay ki ho sakti hain aam tor par lungs cancer ke mareez aksar pasliyon, bazuon, kandhon aur gardan mein dard ki shikayat karte dikhayi dete hain.

Wazan Mein Tabdeeliyan
Yeh aik aam alamat hai is bimari ke shikaar afraad ke wazan mein dramayi tabdeelian runuma hoti hain agar aap ko apne wazan mein 10 pond ki tabdeeli dikhayi de to samajh jayain kuch ghalat ho raha hai agar aap ne apni khoraak aur werzish mein koi numaya tabdeeli nahi ki to phir wazan mein bhi tabdeeli hargiz nahin aani chahiye wazan ki tabdeeli ki agar aap ke paas koi wazahat nahin hai to aap zaroor apne doctor se rabita karain.

Awaz Ka Badalna
Mustaqil jari rehne wali khansi ki wajah se aksar logon ki awaz mein bhi bhari pan ajata hai aur yeh pehphron ke cancer ki aik alamat hai aap ki awaz mein anay wali tabdeeli ko dosray log ba aasani mehsoos kar lete hain aur yeh is wajah se hota hai ke aap ko apni awaz bahar nikalne mein mushkil paish aa rahi hoti hai is terhan aap ke galay mein dard ho sakta hai aur aap khamosh bhi ho saktay hain.

Ghargharahat
Aksar logon ko saans lainay ki koshish mein ghargharahat ka samna karna parta hai aur ye lungs disease ke peda honay ki aik aur wazeh alamat samjhi jati hai yeh is wajah se hota hai aap ke lungs hawa janay aur nikalne ke nizam mein zayada tangi peda ho jati hai aur naliyan mutasir ho chuki hoti hain aur is ke sath soozish bhi peda ho chuki hoti hai.

Balgham Mein Khoon
Aksar log balgham mein blood anay ki shikayat karte hain is ka matlab hai ke cancer aisay logon ke phephron ke zayada se zayada tissue barbaad kar chuka hai murda tissue ke ikhraj ki koshish mein un ka jism balgham ke sath khoon peda karta hai.

No comments:

Post a Comment