Hathon Ki Hifazat In Urdu Hand Care Tips Hindi Hathon Ki Khubsurati Ke Totkay

Hand Care Tips In Urdu Hathon Ki Hifazat Ke Totkay In Urdu: Kaha jata hai ke agar kisi bhi aurat ki asal umar ka pata chalana ho to is ke hathon ko daikhna chahiye  haath zahiri shakhsiyat ya jismani saakht ka woh hissa hain jo har waqt samnay rehtay hain is liye agar yeh bhaday aur jhuriyon zada hon ge to dosaron par un ka bura tasar qaim hoga is ki bunyadi wajah bhi yeh hai ke har aurat kam ya zayada sirf apne chehray ka hi khayaal rakhti hai hathon aur pairon ki hifazat aur khayal ko nazar andaz kar diya jata hai.
Aisi chand ahem batain jin ki wajah se haath chehray se ziyada umar raseedah nazar atay hain.
Umar ke asraat ya daagh hathon par zahir honay walay spot ka taluq darasal barhti hui umar se hargiz nahin hota yeh suraj ki shuaon ka nateeja hota hai hathon ki jald sukarnay lagti hai. New York hospital cornell medical center ki aik doctor ka kehna hai ke awail umar mein suraj ke asraat hathon par assar andaaz nahin hotay yeh zayada tar 50 saal ke baad samnay atay hain is liye jitna mumkin ho sakay apne hathon par suraj ki roshni barah e raast nah parney den hathon par gloves charhayain aur aisay cream aur lotion ka istemaal karen jin mein moisturizing ki salahiyat mojood ho. Is ke ilawa aala qisam ka sun screen lotion hathon ki pusht par lagayein khaas tor par jab aap driving kar rahay hon yaad rakhen ke hathon ki oopri jild par namodaar honay wali jhuriyan aur linon ki wajah 90% se 98% sirf Suraj ki ultraviolet taiz shuayen hoti hain.

Hathon Ki Kubsurti Ki Tips In Hindi
 
Hand Lotion Ka Istemaal
Hathon ki jald bohat jald khushk ho jati hai balkay waqt guzarnay ke sath sath is mein izafah hota chala jata hai is ki wajah hathon ka baar baar dhona, bartan aur kapray dhoney ke douran gloves ka na pehn’na aur mukhtalif chemical ditergents ka istemaal karna hai, apne hathon ki rozana raat sonay se pehlay cleansing karen aur aisay hand lotion apply karein jin mein moisturizer ki miqdaar zayada ho Gloves ka istemal karain. Hathon ke khushk honay ki aik wajah garam pani ka istemaal bhi hai.

Gloves Zaroor Pehnein
Koi bhi taiz qisam ka chemical use karte waqt khas tor par bartano aur kapron ki safai ke liye dish washer aur bleech ko istimal karne se pehlay rubber ke dastanay zaroor pehnein aur aisa har baar karein yaad rakhen koi bhi amal aik baar faida nahin deta is ka mustaqil istemal hi behtareen result deta hai aisay cleansing agent hathon ke sath sath nakhunon ke liye bhi nuqsaan deh saabit hotay hain naakhun kamzoor honay ke sath totnay lagtay hain aur un ki afzaish mein kami waqay honay lagti hai kyun k jab yeh chemical mila pani nakhunon ke andar tak jata hai to is ki wajah se naakhun ki andar ki jild sukarnay lagti hai aur sukarnay ke sath sath woh khushk hoti chali jati hai aur yun nakhunon ki kayi bemariyan peda honay ka khadsha rehta hai is liye un tamam masail ka hal rubber ke dastanon ka har baar istemal hi hai is se aap ke haath aur nakhun bari had tak mehfooz rahen ge.

Hathon Ka Massage
Roz marah ke kamon mein hathon ki safai ka bhi mamool apnayen apne hathon ki hifazat aur un par parney wali lines, daagh, jhuriyon aur skin cancer se bachanay ke liye aisi hand cream ka istemal karain jis mein jo faida mand hon aisa hafta mein 2 baar karna zaroori hai is zaman mein samandari namak aur lemon ke ras ko mila kar behtareen homemade scrub tayar kiya ja sakta hai is scrub ko kisi puranay aur faaltoo brush ki madad se hathon ki pusht par apply karen is se skin ke murda khuliyaat ka khtama ho ga aur hath ki skin jandaar lagnay lagey gi.
Hathon ki jald ko naram aur soft banane ke liye un ka rozana massage karain is ke liye olive oil aur cheeni scrub behtareen cheezain hain, aik chothai tea spoon dono ashya ko bahum mila kar hafta mein aik baar hathon ki pusht par maalish karein.

Fatty Acid Ka Istemal
Hathon ki oopri jaldi aur kharab hissa is baat ki nishandahi karta hai ke aap ki diet mein fatty acid jaisay compound ki shadeed kami hai chehray ki terhan hathon ki jald ko bhi bari hifazat ki zaroorat hoti hai is liye apne khanon mein aisay ajza ki miqdaar barhayain jin mein fatty acid paya jata ho jaisay ke machhli waghera is ke ilawa apni ghiza mein sabzion aur phalon ke use ko bhi jari rakhen salad, dry fruit, fry sabzion ke ilawa aap fatty acid supplement bhi istemal kar saktay hain yeh baat yaad rahain ke aap ki diet mein rang barangi sabzion aur phalon ki miqdaar honi chahiye, misaal ke tor par sangtrah, aadu, surkh berry aur hari broccoli yeh tamam ghazayain suraj ki shuaon se jhulas jaaney wali jald ki hifazat ka kaam bhi karti hain is ke ilawa un mein anti oxident ki salahiyat bhi hoti hai is liye ye har qisam ke infection, allergies se bhi bachanay mein ahem kirdaar ada karti ha.
 
Pani Ka Bharpoor Istemal
Hathon ki pusht par ubharnay wali lines aur ragein is baat ki nishandahi karti hain ke aap ki jald shadeed pani ki kami ka shikar hain din mein kam se kam 2 liter pani zaroor piyain jis se aap ke hathon par moisurizure ka level hamwar rahay apne sath har jagah pani ki bottle rakhen aur waqfa waqfa se is ke ghoont bharti jayen aisi sabzion aur phalon ka istemaal bhi karte rahen jin mein pani ki miqdar payi jati ho jaisay celery, kheera, tamatar aur har qisam ke melon waghera.

More Hands Beauty Tips In Urdu
  • Hathon ki cream ka istemal mustaqil karen usay apne bathroom ke cabinet mein rakhen aur har baar is se haath dhoyein. Bahir jatay waqt ye cream ya lotion apne bag mein sath rakhein. 
  • Kaam ke douran rubber ke dastanay pahannay se pehlay hand cream zaroor lagayen. 
  • Baghbani ke waqt bhi un dstanon ko istemaal karain. 
  • Hathon ko dhoney ke baad inhen toliya se khushk karne ke bajaye qudrati hawa mein khushk honay dain. 
  • Ublay 2 ya 3 aalo (potato) ko achi tarhan chheelnay ke baad mesh kar lain aur doodh mila kar aik gaarha paste tayyar karain pandrah se bees minute taq hathon ki oopri jald par lagayen aur dhoney ke baad hand lotion apply karen is mask se hathon ki jald tight honay ke sath sath naram aur mulaem ho jaye gi. 
  • Aik gaajar ko bareek mesh kar ke aik table spoon sour cream, aik table spoon olive oil shaamil kar kay paste bana kar hand mask ke tor par lagayein ye mask 20 minute baad utaar dain. 
  • Badam ke tail ka massage hathon ko har terhan se tahaffuz faraham karta hai rozana sonay se pehlay badam ke tail se massage hathon ko khubsurat banata hai.


No comments:

Post a Comment