Khatmal Marne Ka Tarika Urdu Khatmal Home Treatment Hindi Khatmal Se Nijat Totka

Khatmal Marne Ka Tarika In Urdu Khatmal Se Nijat Ke 6 Ghareelu Totkay: Guzashta dinon yeh tehaqeeq samnay aayi thi ke zindagi ajeeran kar dainay walay khoon choosnay walay keeray yani khatmal makhsoos rangon ko pasand nahi karte.

Union college ki is tehqeeq ke mutabiq siyah aur surkh rang ko bohat zayada pasand karte hain jabkay sabz aur zard ko na pasand par mohqiqeen ka kehna tha ke dayanatdari ki baat to ye hai ke khatmalon ko jo rang pasand nahi un ka istemal zaroori nahi inhain aap khud se dor rakh sakay hain taham is hawalay se woh kisi tareeqa kaar ki tayari par zaroor kaam karain ge.

Aaj hum aap ko kuch ghareelo khatmal se nijat ki tips batatay hain jo ho sakta hai aap ko un khoon choosnay walay keeron se nijat dila sakain.

Khatmal bhagane ke liye tamam cheezon ko dho dain tamam kapray ya koi bhi cheez jo is keeray ki zad mein aa chuki ho jaisay bistar ki chadar, kambal ya deegar cheezain unhain garam pani se achi tarhan dho dain. Ye bohat zayada garam pani mein zinda nahin reh paate aur inhen khatam karne ka ye aasaan tareen tarika hai. Chadarein dhonay ke baad mutasirah jagahon aur cheezon ko achi tarhan saaf karain kamray ki safai hi khatmalon se nijaat dilanay ka wahid zareya hai.

Dhuwen Ke Zariye In Se Chutkara Hasil Karain
Agarchay garam pani se dhulai kapron ya chadoroon ko khatmalon se pak kar deti hai magar un ke andon ka khatma nahin kar patay aur woh aik baar phir apni abadi barha kar zindagi ajeeran kar dete hain. Aap ko jahan shak ho ke in ke andey hain wahan garam dhuwen dain in ke andon ka khatama ho jata hai.

Tea Tree Oil Faida Mand
Tea tree oil khatmalon ko bistar se daur rakhnay mein madadgaar saabit hota hai jis ki wajah is ki taiz mehak hoti hai, to aap is oil ka chirrkao apne bistar ke ird gird aur kisi bhi mutasirah hissay mein kar kay in ko khud par hamlay se rok satke hain.

Lavender Oil Bhi Behtareen Hai
Lavender oil in ko khatakm kar dene ki qudrati aur intihi salahiyat rakhta hai isi liye lavender ka tail is maqsad ke liye bara mosar qarar diya jata hai. Apne bistar aur farsh waghera par is tail ko ragadnay se aap in keeron se nijaat haasil kar saktay hain.

Poodina

Poodina bhi aisi cheez hai jo in ko pasand nahi aur is ke patton ko pees kar mutasirah jaghon par daal diya jaye to wahan se khatmal gayab ho jatay hain, iskay khushk pattay apne bistar ke darmain aur kapron ke paas rakhnay se bhi inhain marnay mein asani rehti hai youn tips ke istemal se aap apne ghar ko in bed bugs se saaf kar sakte hain.

Lazmi Parhain Ye Bara Easy Method Hai Khatmal Bhaganay Ka Nuskha Number 2

Agar ghar mein khatmal ho jayen tou bohat pareshani hoti hai raat ki neendain kharab ho jati hain ye char payee, bistaron, deewaron aur darazon mein ghus jatay hain in se nijaat ke liye char payee bed aur furniture ko ne fenail ke garam pani se achi tarhan dho kar dhoop mein daal dain sath hi bistaron waghera ko taiz dhoop mein daal dain, 4 - 5 din baad khatmal mar jayen ge. Bazaar mein dawa bhi dastyab hai lekin aik bilkul anookha aur ghareelu azmooda nuskha yeh hai ke inhen aag mein daal dain jahan nazar ayen pakren aur aag mein daal dain kehte hain ke aag jala kar is mein khatmal daaltay rahen to dosray un ke julne ki boo se bhaag jatay hain chaar paanch din mein bilkul khatam ho jayen ge.

Kuch log matti ka tail aur kafoor mila kar charpayee par chiraktay hain magar jo khatmal medicines aur spray se nahi maray woh in totkon se kya khatam hon ge par phir bhi ye bara asan method hai is se aap apne ghar ko pehle se zayada behtar mehsoos karain gi.

Urdu Nation mein shaya honay wali aik tahaqeeq mein bataya gaya hai ke abhi taq yeh samjha jata hai ke khatmal ke katnay se insan chubhan aur jalan mehsoos karta hai lekin sahet ke hawalay se is ke koi muzir pehlu nahi hain, taham ab tibbi mahireen ka kehna hai ke ye imkanaat maujood hain ke ye kisi aisi bemari ko aik insaan se dosray ensaan tak pohanchanay ka sabab ban sakta hai jis ke barey mein filhaal hum nahi jantay.

No comments:

Post a Comment