Natural Skin Polish Banane Ka Tarika Aur Lagane Ka Behtareen Formula: Jild ki qudrati chamak aur rangat barqarar rakhnay ke liye mahinay mein aik martaba skin polish karna intihai zaroori hai skin polish na sirf aap ka rang gora karti hai balkay dead skin cells ko remove kar ke jild ko dobarah se jawan kar deti hai aur skin polish karwane ke liye ab aapko mehngay beauty parlour par janey ki zaroorat nahi ye kaam ab aap ghar par bhi kar sakti hain aur hum aap ko isay banane ki azmooda tarkeeb bata rahay hain note kar lain.
Baking Soda Ke Zariye Banayain
Baking soda se polish bananay ka faida yeh hai ke is se black heads bhi khatam hotay hain aur jild dead cells se jald pak ho jati hai yani dead skin cells utarnay mein baking soda rait ka kaghaz sabit hota hai. Isay banane ke liye baking soda 1 spoon itna hi face wash lain dono ko mix kar ke paste banayen aur chehra geela kar ke laga den, aur golai mein chehray ko malain phir taaza pani se dho lain is ke behtareen nataij wazeh honay lagain gey aap isay puray jism par bhi laga sakti hain
Isay banane ke liye baking soda 2 chamach aap ka zair istimal body wash bhi taqreeban isay tadad mein lain aur donon ko ghool kar paste banane ke baad neem garam pani se nahayain aur phir puray jism par lagayien maslan kohniyon, ghutnon aur ayrihon par.
Samandari Namak Ke Zariye Bhi Isay Banaya Jata Hai
Kisi bhi pansaar store se samandari namak asani se mil jata hai samandari namak bara zabardast scrub ka kaam karta hai murda jild ko utarnay mein bara mosar hai aur roghan zaitoon jild ka mela pan dor kar ke usay tar karne mein madad faraham karta hai.
Is ke zariye tayar karna chahain tou aap ko samandari namak 4 spoon aur is ka adha yani 2 chamach roghan zaitoon lemon juice 1 spoon aur khusbhu ke liye lavender koi lay sakte hain in sub ko shamil kar ke paste banana hai poora nahane ke baad poori body par laga kar golai mein achi terhan malein aur taaza pani se nahayein puri body ka colour aik jesa hota jaye ga aur aap ko mehsoos ko ga ke in cheezon se kitna shandar glow araha ho ga.
Beauty Tips
,
How To
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment