Newborn Baby Diet Chart In Urdu Healthy Food For 1 Year Babies In Hindi - Aik Saal Se Kam Umer Bachon Ko Kya Khilana Chahiye
- Umdah Sehat Bakhsh Ghaza
- Safai
- Bimari Se Bachai
1: Paidaiesh se le kar 4 se 6 month ki umar tak maa ka doodh bachay ki ghiza honi chahiye is ke ilawa kuch aur nahi dena chahiye. Bachay ki paidaiesh ke baad se 2 ghantay ke andar andar maa ka doodh dena chahiye.
Maa ke doodh mein shaamil juz bachay ko mukhtalif qisam ke muzir asraat aur bimarion se bachata hai maa ke doodh par palne walay bachon ko gastro ki bemari nahi hoti.
2: 6 month se 1 saal ki umar tak maa ka doodh aur doosri sahet bakhsh ghazayein jaisay ubli hui dalain, anday, gosht, phal aur sabzian pakka kar dena chahiyein.
3: Jab bacha bohat dubla ho aur us ki nashonuma theek na ho to usay din mein kam se kam 5 martaba khana khilana chahiye.
Tawanai Dainay Wali Ghazayein Aur Un Ki Tarkeeb
1 Dalain
Dalain, gandum, makai aur chawal protein aur vitamin hasil karne ka sab se sasta zareya hai dusray mulkon mein dabon mein pack bachon ki paki hui thos ghazayain asani se milti hain magar 6 mahinay ke bachay ke liye daal chawal se bani khichdi se behtareen ghiza koi nahin. 2 - 3 din baad kisi nayi sabzi aur masalhay ke sath bana kar is ka zayega aur lazeez kiya ja sakta hai jaisay kabhi aik chamach ghee ya makhan mein zara si pyaz aur lehsun fry kar ke 4 chamach daal, chawal daal kar koi bhi sabzi jaisay bareek palak ke pattey ya aalo namak kaali mirch daal kar pakaya ja sakta hai isi tarhan daal ke soup mein mausam ki tazi sabzi jaisay gajar, mator, loki ya gosht ka qeema daal kar pakaya ja sakta hai.
2 Doodh, Aanday Aur Gosht
6 maheenay se 2 saal ki umar tak bachay ke naaqis ghizaiyat ka shikaar honay ke imkanaat ziyada hotay hain is liye milk, eggs jaisi ghzaon ka sehat bakhsh honay ka yaqeen hona zaroori hai maa ke doodh ke sath dairy products se tayyar kardah khanay bhi bachon ko dena chahiye.
Aik anday mein 6 gram protein hota hai is liye din mein aik baar naram ubaal kar bareek pees kar namak daal kar doodh ke sath mila kar dain is ke ilawa doodh ki kheer custard ya sagodana tayar kar ke us mein koi mausami fruit bareek pees kar milaya ja sakta hai machli ke gosht mein bari tawanai hai par machli ke kantay hata kar us mein makhan, namak aur kali mirch daal kar diya ja sakta hai.
3 Sabziyan
Gehray harey patton wali sabziyan jaisay tamatar, gaajar, kaddu, loki, shakar qand, shaljam aur gobhi se jism ko vitamin aur madniyaat haasil hotay hain chotey bachon ke liye sabzion se behtareen soup tayyar kiye ja sakte hain aur un se zayada tawanai hasil karne ke liye un mein aik chamach tail shaamil karna chahiye. Sabziyon ke soup mein protein yani gosht aur murghi ke bareek raishay mila lena chahiye. Aalo, matar aur gajar ko ubaal kar makhan, namak, siyah mirch daal kar bareek masal kar aur usay mazeed khush zaiqa karne ke liye mamooli sa hara dhaniya aur hari mirch daali ja sakti hai.
4 Fruits
Phalon ka ras pure nikaal kar bachon ko dena chahiye phal khilanay ke bohat se tareeqay hain aam ke goday ko daliya mein mila kar diya ja sakta hai, kela, chiku, aaru ko custard mein milaya ja sakta hai. Phalon ko bareek kaat kar halka sa paka kar us mein shehad bhi dala ja sakta hai.
Chote bache ka maida chota hota hai aur us mein aik waqt mein zayada ghiza ki gunjaesh nahi hoti is liye usay thora thora kayi baar khilana chahiye. Bachay ko naram, thos ghiza hamesha thori miqdaar se shuru karna chahiye.
Health , Kids , Tips
No comments:
Post a Comment