Khoda Pahar Nikla Chuha Story Urdu Khoda Pahad Nikla Chuha Hindi Kahani

Khoda Pahar Nikla Chuha Story In Urdu: Faraan ko jasoosi karne ka be hadd shoq tha woh apne aap ko jasoosi filmon ka hero samjhta tha us ke ghar walay is aadat se bohat tang thay. Faraan par agar isi terhan jasoosi ka bhoot sawar raha to kisi din yeh hum sab ke liye koi barri museebat na khari kar dey. Inhi baton ki wajah se us ka parhai mein bhi dil nahi lagta akhir us ka hoga kya ammi ne preshan ho kar abbu se kaha: usay samjha samjha kar thak chukay hain lekin us ke kaanon par jaisay jon hi nahi rengti aaye din muhallay se shikaytein aati rehti hain bas ab mein ne faisla kar liya hai ke usay boarding mein daakhil kara dun ga, wahan paband rahe ga to jasoosi ka shoq khatam ho jaye ga abbu ghusse se boltay chalay gaye.

Bil akhir Faraan ko boarding house mein daakhil karwaya gaya yahan subah ke nashtay ke liye raat mein hi har bachay ka band double roti mangwa liya jata tha kyun kay bakery subah jaldi nahi khulti thi. Do chaar din se boarding house mein ajeeb baat mehsoos ki gayi ke rozana aik bachay ka band gayab ho jata. Faraan ki jasoosi is mauqa par bharak uthi raat ko jab sab so gye to woh apne bistar par baithy kamray mein charon taraf nazrain doranay laga. Achanak us ne aisi ajeeb baat dekhi ke be ikhtiyar late kar chadar sir tak taan li aur kanpnay laga. Raat bhar woh khauf se kapkapata raha subah phir school saraseemgi ke alam mein tha kyun kay aik aur band ghaib tha kisi ko maloom nahin tha magar Faraan ko maloom tha ke band kon  laita hai.

Us ne aik bachay se kaha mujhe maloom hai ke band kahan jatay hain. Kon aur tumhe kaisay maloom bachay ne poocha. Jinnnn us ne noon par zor day kar kaha. Jin? kya matlan woh bacha aur heran ho gaya Faraan ne chehra khofnaak banatay hue kaha haan jin magar woh bajaye Faraan se mutasir hota, us ka mazaq urane laga agli raat jab sab so gye to woh phir jasoosi mein lag gaya abhi woh soch raha tha ke achanak usay apne qareeb kuch aahat sunai di. Us ne aik jhatkay se aahat ki janib dekha to usay apne neechay se bistar nikalta mehsoos howa aik aur bachay aik aur bache ka band khud ba khud khisak raha tha woh ankhen pharay usay khisakta dekh raha tha. Itna bara gool band zameen par khisak nahi rahatha balkay thora sa oopar ko uth kar fiza mein urr raha tha woh thar thar kanpnay lagey aur phir us ne zara ghhor se dekha to usay band ke neechay aik kalay rang ki cheez nazar aayi us ne kamptay hue thora jhuk kar ghoor se dekha to us ki be ikhtiyar hansi chhut gayi.

Us ki hansi sun kar baqi bachay bhi ghabra kar uth baithy kya howa? aik ne poocha, arrey kyun hans rahay ho itni raat ko? aik aur bola. Faraan sab baton se be niaz bas us ban ko dekhe ja raha tha jo ab kafi dor nikal chuka tha. Phir baqi bachon ki nigahain bhi us ki nigahon ki seedh mein gayeen sab ke cheharon par muskurahat thi itnay barray band ke neechay choti se chohiya thi acha to yeh hai ban ghayeb karne wali dhut tairay ki. Kayi bachon ke munh se nikla aur kamra qehqahon se goonj utha. chohiya un ke qehqahon se khaufzadah ho kar band chhor kar sarpat bhaag gayi. Faraan ne be ikhtiyar kaha yeh wohi misaal ho gayi khoda pahar nikla chooha (kahani in hindi).

,

No comments:

Post a Comment