Sher Aaya Sher Aaya Story Urdu Gadariya Aur Sher Ki Kahani In Hindi

Aik unchay teelay par gadariye ka larka dor ghanay jungalon ki taraf munh kiye chala raha tha sher aaya sher aaya dorna. Bohat der taq woh chilata raha us ki  buland awaz basti mein bohat dair tak gonjti rahi jab chila chila kar halaq sookh gaya to basti se 2 - 3 burhay lathiyan le kar aeye aur gadariye ke larke ko kaan se pakar kar le gye. Panchayat bulai gyi basti ke saray aqal mand jama hue aur gadarie ke larke ka muqadma shuru howa us ka jurm ye tha ke us ne ghalat khabar di aur basti ke logon ko khuwa makhuwa pareshan kiya.

Larkay ne kaha mere bazurgo tum ghalat samajte ho sher waqai nahin aaya tha par is ka yeh matlab ye to nahin ke woh aa hi nahi sakta.
Buzurgon ne kaha woh nahi aasakta.
Larke ne ba adab poocha kyun?
Jawab mila jungalon ke mehakmay ke barray officer ne hamein likha tha ke sher boorha ho chuka hai.
Larke ne kaha lekin aap ko yeh maloom nahi ke woh jawan honay ke liye bohat si jari bootiyan kha raha hai.
Jawab mila ye afwah thi....  jungalon ke mehakmay ke barray officer se hum ne is baray mein poocha to us ne hamein yeh likha tha ke sher ne to apne rahay sahy daant bhi nikalwa diye hain kyun ke woh apni zindagi k baqi din Khuda ki yaad mein guzaarna chahta hai.
larke ne barray josh ke sath kaha mere bazurgo ho sakta hai aisa na ho.
Bazurgon ne kaha hargiz nahin.... hamein jungalon ke mehakmay ke barray Afsar par poora bharoosa hai is liye ke woh sach bolnay ki qasam kha chuka hai.
Larke ne poocha kya yeh qasam jhooti nahi ho sakti.
Bazurg ghusse mein chalaye har cheez jhooti kaisay ho sakti hai tum khud jhootay ho... chal baaz ho.... makar ho.
Larka muskuraya mein sab kuch hon lekin Allah ka shukar hai ke mein woh sher nahi jo kisi waqt bhi yahan aa sakta hai jungalon ke mehakmay ka bara officer bhi nahi jo sach bolnay ki qasam kha chuka hai.
Panchayat ke aik safaid balon walay boorhay aadmi ne larke ki baat kaat kar kaha tum usi gadariye ki aulaad ho jis ki kahani salha saal se school mein parhayi jati rahi hai. Kaan khol ke sun lo ke tumhara hashar bhi wohi ho ga jo us ka howa tha shair aye ga to tumhari tikka booti ura de ga.

Gadariye ka larka phir muskuraya bazurgo mein to usi se larron ga mujhe to har waqt us ke aanay ka intezar rehta hai. Tum kyun nahi samajte ke sher aya sher aya dorna wali kahani jo apnay bachon ko parhatay ho aaj ki kahani nahi aaj ki kahani mein to is ka matlab hai ke khabardar ho, hooshiyar ho sher aye na aye ho sakta hai koi geedar munh utha kar idhar chala aye magar is hewan ko bhi to hamein apni basti mein ghusnay se rokna chahiye.

Bazurg khilkhila kar hans parre kitney darpook gadariye ho tum dartay ho.
Larkay ne kaha mein sher se darta hon na geedar se magar darta hon is liye ke ye hewan hain aur un ki hewaniyat ka muqabla karne ke liye mein apne aap ko hamesha tayyar rakhta hon... mere bzrgo, zamana badal chuka hai, apne schoolon se Khuda ke liye woh kitaab utha lau, jis mein sher ki purani kahani chhapi hai.... us ki jagah yeh nayi kahani parhao.

Aik budhay ne khanstay hue kaha bhaiyo, ye larka hamein ghalat rastay par le jana chahta hai is ka sir phir gaya hai, dosray budhay ne ghusse se kanpate hue kaha is ko foran qaid karo us ko foran jail mein qaid kar diya gaya.

Ittefaq ki baat hai sher basti mein daakhil howa bhagdar mach gyi 6 log basti chorr kar bhag niklay baqi shair ne shikar kar liye jub sher jail ke paas se guzra to us ne lohay ki mazboot salakhon ke peechay gadariya ke larke ko dekha sher ne us se kaha kon ho tum? larke ne jawab diya main gadarie ka larka hon.
Sher ki aankhon mein khoon utar aaya to tum ho gadarie ke larkay wohi jo mere anay ki itla diya karte they bahar aao main tumhe is ki saza dena chahta hon.
Larka muskuraya jungalon ke badshah mujhe afsoos hai ke mein bahar nahi aa sakta mere bazurgon ne jo mujhe saza di hai is ne mujhe tumhari saza se mehfooz kar diya hai aur sher daant pees kar reh gaya.

,

No comments:

Post a Comment