Wood Cutter Story Urdu Lakadhara Ki Kahani Hindi Woodcutter And Axe Imandar Lakarhara

Lakadhara Story In Urdu: Kisi zamane mein mulk faris mein darya ke kinare aik chhota sa gaon abad tha us gaon mein Abdullah nami aik lakadhara raha karta tha jo darya ke dosray kinare par jungle mein jaa kar lakriyan kat'ta aur unhein qareeb ke shehar mein le ja kar farokht kar daita is se jo aamdani hoti us se apne aur biwi bachon ke liye rozi kamata tha. Darya ka pul dor honay ki wajah se woh din bhar mein ba mushkil sirf aik chakar hi laga pata tha, kam aamdani honay ki wajah se us ke ghar ka kharch bari hi tangi se chal raha tha.

Aik din woh lakdiyaan farokht kar kay shehar se ghar wapas aaraha tha rastay mein masjid se molvi sahib ke awaz ke alfaz us ke kanon se takraye molvi sahib keh rahay thay ke Bismillah mein bari taqat hai. Allah ka naam le kar koi bhi kaam shuru karo Allah Ta'ala insan ki madad karta hai aur bande ke liye aasaniyan peda kar daita hai yahan taq ke agar Allah ka naam le ker darya mein kood jao to darya bhi rasta de deta hai. Ye baat lakarhare ke dil ko lagi aur usay is baat par kamil yaqeen ho gaya ke Allah ka naam le ker agar darya mein dakhil ho jao to darya bhi rasta day de ga.

Dusray din subah jab lakarhara darya ke dusray kinare se lakdiyan lanay ke liye darya ke qareeb pohancha to Bismillah parh kar darya mein utar gaya aur pani par chalta hua darya ke dusray kinare par pohanch gaya is tarah us ne din mein do chakar lagaye is tarah us ne rozana ke muqablay mein dugni lakri baich kar apni amdani dugni kar li aur ye raqam le kar bohat hi khush o khurram apne ghar pohancha woh be hadd mutmaen aur masroor tha ab us nay pul ke rastay jana chorr diya aur din mein kayi martaba darya se Bismillah parh kar rasta mangta aur zayada chakkar laga kar lakdiyan farokht karta jis se us ki maali halaat behtar hoti chali gayi aur ghar mein khushhali aa gai. Us nay darya ke dusray kinare par apna naya ghar bana liya taakay jungle se layi hui lakdiyaan jama karne mein aasani ho jaye.

Aik din us nay apni biwi se mahswara kar kay molvi sahib ko apne naye ghar mein khanay ki dawat di, molvi sahib nay us se dawat ka sabab maloom kiya aur khud bhi barray heran hue ke mere waaz se is shakhs ki taqdeer badal gayi hai. Khushi se dawat qubool kar ke us lakadharay ke hamrah chal paray rastay mein darya aata tha lekin lakarhara tou Bismillah parh kar darya mein chal para aur dusray kinare par pohanch gaya lekin molvi sahib wahein kharray rahay aur tajub se lakar haray ko dekhte rahay jo wapas aa kar molvi sahib se pooch raha tha ke aap agey kyun nahi atay, molvi sahib nay kaha ke kashti kahan hai jis par sawaar ho kar chaloon. Lakadharay ne kaha charh jayen Bismillah ki kashti par, molvi sahib ghabraye aur ultay peeron yeh kehte hue bhage ke bhai tumhara imaan mazboot hai mera nahin.

Allah Ta'ala par pura yaqeen aur bharoosa karne wala kabhi mayoosi ka shikaar nahin hota kyun ke Allah ki zaat par imaan rakhta hai jo is kainaat ka Khaliq o Malik hai jo har cheez par Qadir hai yehi kaamil yaqeen aur bharosa kaamil imaan ki haqeeqat hai.

Honest Wood Cutter Story In Urdu Imandar Lakadhara
Woodcutter And Axe With Picture Lakadharay Ki Imandari Kahani Number 2
Aik gaon mein lakarhara rehta tha aik neelay khubsurat behtay hue darya ke qareeb woh lakriyan katnay mein masroof tha ke jis kulharay se woh lakdiyan katney mein laga hua tha woh darya mein ja gira jis wajah se us ne darya ke paas baith kar rona shuru kar diya isi doran wahan aik burha insan aya us ne wajah maloom ki tou lakadhare (woodcutter) ne usay sari kahani bata di.

Us bazurg ne darya se soney se bana hua kulhara usay la kar diya lakadhare ne bataya ke ye us ka nahin hai is par dobara chandi se tayar kiya hua kulhara darya se nikal kar diya us ne phir laine se inkar kiya. Is ke baad usay lohay ka bana hua diya jisay us ne khushi se lay liya bazuzg insan ne jub us ki imandari dekhi tou khush ho kar usay saray kulharay inaam ke tor par de diye.

Ikhlaqi Sabaq
Imandari behtareen hikmat e amli hai

,

No comments:

Post a Comment