Jhoot Ki Saza Urdu Story Jhoot Ka Anjam Kahani Hindi Jhoot Nahi Bolna Chahiye

Jhoot Ki Anjam Story In Urdu Hindi 1: Hum 4 behan bhai hain Salmi, Shumalia, Sadaf aur main aik din hum sab ne socha ke aik cake bana kar shaam ki chaye par sab ke samnay paish kiya jaye. Us din ami abu ghar par nahin they hum ne mauqa ghanemat jana aur Salmi baji ko bataye baghair cake ki tayari shuru kar di andon aur doodh ke ilawa hamaray paas sab kuch tha. Thori dair baad gawala aa kar doodh dey gaya hum ne parosion se anday liye aur cake bananay lagey.

Cake tayar kar kay usay oven mein rakh diya sham ko jub ami abu wapas aye to hum ne cake maiz par rakha aur wahan se bhag aye, Salmi baji ko bohat gussa aaya, kyun ke woh nahin chahti thein ke bachay koi aisa kaam karein jo baron ke karne ka ho.

Abu ne cake chakha to hum sab ko bulaya hum samjhe ke shayad cake acha nahin bana, hum daray daray aur sehmey hue abu ke samne paish hue unhon ne poocha cake kis ne banaya hai. Hum ne jaldi se jhoot bola ke cake sadaf ne banaya hai ye keh kar hum to apne kamray mein chalay gaye abu ne sadaf ko bulaya pyar kiya aur 50 rupee ka note us ke haath mein pakra diya aur hum sub munh taktey reh gaye cake bohat umdah bana tha.

Jhoot Ki Saza Story In Urdu 2
Aik larki thi jis ka naam Erum tha Erum apne waldain ki ikloti beti thi. Allah Ta'ala ne usay tamam nematon se nawaza tha us ka rang gora tha aur soorat bhi bohat achi thi bas us mein aik khaami thi ke usay jhoot bolnay ki bohat buri aadat thi woh jhoot bol kar apna kaam minton mein nikalwa laiti thi woh apne school mein jhooti number one ke naam se mashhoor thi.

Us ke school ka har bacha usay uskay naam se pukarnay ki bajaye jhooti, jhooti keh kar pukaarta tha jab ye baat Erum ke waldain ko maloom hui ke un ki beti ko school mein jhooti keh kar puraka jata hai to unhen bohat dukh howa. Woh apni beti ko hamesha samjhate they ke beti jhoot bolna bohat buri baat hai. Erum apne waldain ke munh par to keh deti jee ami, abu mein aaj ke baad jhoot nahin bolon gi lekin is ke bawajood jhoot bol deti us ke school mein aik larki parhti thi jis ka naam Shazia tha. Shazia, Erum ki hum jamaat thi woh Erum se bohat hasad karti thi kyun ke Erum parhai mein bhi bohat achi thi aik din Erum ko Shazia par bohat gussa aaya kyun kay Shazia har waqt Erum ki naqlein karti rehti thi jab teacher ne test liya to Erum ne sab se pehlay parcha hal kar liya aur Shazia baithi rahi to Erum ne apni teacher se kaha ke Shazia naqal kar rahi hai to teacher ne Shazia ko najaiz mara. Yeh sab dekh kar Erum ke dil ko bohat sukoon mila kehte hain ke kisi ko najaiz saza dainay walay ya dilwanay walay ko Allah kabhi maaf nahin karta aik din Erum ki ami aik party mein ja rahi thein to Erum ne zid karna shuru kar diya woh bhi apni ammi kay sath jaye gi lekin us ki ami ne usay saaf mana kar diya. Jab Erum ne dekha ke aisay kaam nahi banta us ne pait mein dard honay ka jhoota natak karna shuru kar diya.

Us ki ami usay doctor ke paas lay gayein doctor ne usay pait ke dard ka injection lagaya chunkay Erum ke pait mein dard to tha hi nahin is liye injection ka ghalat reaction ho gaya aur Erum ka saans achanak band honay laga. Yeh sab dekh kar Erum ki ami ronay lagein par kehte hain ke agar kisi se ghalti ho jaye to usay aik aur mauqa dena chahiye aur Allah Ta'ala ne usay aik aur mauqa dey diya achanak Erum ka saans bahaal honay laga aur theek thak ho gayi is ke baad us ki ami ne us ke mathey ko chooma aur kaha ke beta yeh sab tumahray jhoot ki wajah se howa tha ab tum mujh se wada karo ainda kabhi jhoot nahin balo gi. Erum ne apni ammi se wada kya aur apne waliain ke sath khusi khusi rehne lagi. Pyare bacho is kahani se hum ne seekha hai ke hamein bhi zindagi mein kabhi jhoot nahi bolna chahiye jaisa ke Erum ne jhoot bol kar shazia ko najaiz saza dilwai aur baad mein apni ami se jhoot bola jis ki wajah se us ki tabiyat bohat kharab ho gayi.

,

No comments:

Post a Comment