Shehad Utarne Ka Tarika Darakht Se Shehad Kaise Utarte Hain Get Honey From Tree

How To Get Honey From Tree Darakht Se Shehad Utarne Ka Tarika In Urdu: Aam tor par shehad chatay se us waqt hasil kiya jata hai jub ye pura pak jata hai yani makhiyan shehad ke khanon ko moom laga kar band kar deti hain baaz auqat honey season mein zayada chatay hone ki wajah se isay kacha nikal liya jata hai is ke liye is ke liye chaton ko dhoop mein rakh diya jata hai jis se shehad ki nami ur jati hai rua pak jata hai. Gaon ke log baqaida makhiyan palnay ki bajaye jangli makhyon ke chaton se ras hasil kartay hain lihaza chatay se honey nikalne ka tareeqa darj zail hai.
Sar aur munh ko hifazati khool ka kapray se dhamp kar makhiyon ke chaton ke paas jayain un ke paas bina khauf jana chahiye aur jism ke nange hison ko kapray se dhamp laina chahiye agar makhiyan kapron par baith jayain tou ghabrayein nahin ye amooman dang nahin martein ye sirf tab dang marti hain jub un ko daraya jaye warna woh aap par baith kar urr jayein gi. Makhiyon ko chatay se uranay ke liye chatay par pani chirak dain is se makhiyan urr jayein gi kuch makhiyan baqi reh jayain gi.

Shehad ikatha karne ke liye tips ye hain ke chatay ko dhuwan dena chahiye is se woh makhiyan bay zarar ho jayain gi jo pani chiraknay ke bawajood na urain.

Shehad chatay ke uper wale hisay mein hota hai jabkeh chatay ke nichlay hisay mein makhiyon ke bache hote hain is liye us hisay ko kaat kar alehda kar dena chahiye aur khanon ki topiyan alag kar dain. Isay nikalnay ke liye machine ka istemal bhi kiya ja sakta hai agar machine muhaiya na ho tou chatay ke chote chote tukray kar ke choray munh wale bartan ke munh par saaf malmal ka kapra dheela sa bandh kar us ke oper rakh dain aur us ke uper kapra rakh dain takeh us par makhiyan na baithain aur us bartan ko dhoop mein rakh dain is tarah shehad tukron se alag ho kar bartan mein beh jaye ga. Phir shehad ko saaf bartan mein nikal lain is tarah nikala hua honey saaf suthra aur har tarah ki alaishon se pak ho ga. Is ko zayada dair tak khula na rakhain kyun ke ye nami jazab kar laita hai honey bottles ko garam khushk jagah par rakhain.

,

No comments:

Post a Comment