Ab shuru karte hain sehri se, waisay to mein har sehri mein hi uthta tha par is baar to roza rakhna tha is liye sawaiyan, paratha bhi khoob khaya aur doodh aur pani bhi zayada piya aur namaz, quran pak ki talawat kar ke so gaya ab jo hum subah uthay to gala khushk ho raha tha lekin kya karte roza jo rakha tha bardasht kiya lekin phir 2 ghantay baad bhook bhi shiddat ki lagna shuru ho gayi aur isi be cheeni mein Zohar ki namaz ka waqt ho gaya to hum abu aur bhai ke sath namaz parhnay chalay gaye, jab namaz parh ke aye to ami hamari halat dekh kar samajh gayein ke hamein bhook aur pyas lag rahi hai to ammi ne meri cousin ke kaan mein kuch kaha jo mein sun na saka.Kuch dair baad meri cousin mere paas sawaiyan le kar ayen jo ke sehri ki bachi hui thein aur kaha ke yeh kha lo par hum ne saaf inkar kar diya ke hum to rozay se hain is par hamari cousin ne kaha ke sehri ki bachi hui cheezain khanay se roza nahi toot'ta lehaza tum is ko kha lo is tarhan tumhari bhook aur pyaas kam ho jaye gi. Pehle to hum sochte rahay aur phir khanay ka faisla kar ke sawaiyan kha lein bas hamaray khanay ki dair thi ke sab ne kaha ke ab to tumahra roza toot gaya aur hum ne zaar o qitaar rona shuru kar diya phir ami aur abu ne hamein manaya aur is tarhan hamara rotay dhotay poora din guzra to yeh tha mera pehla roza.
Essay
No comments:
Post a Comment