Mouse Urdu Information Rat Chuha Essay In Hindi Mouse History

Mouse Information In Urdu Chuha Insan Ka Sub Se Bara Dushman: Kaha jata hai ke insan ka sab se bara dushman insan hi hai lekin kya aap bata sakte hain ke duniya mein insan ka dosra bara dushman kon hai, arrey aap to soch mein par gye acha hum betaye dete hain. Janab inaan ka sab se bara dushman aik chhota sa janwar hai aisa janwar jo duniya ke har mulk mein zulm ki tarhan kasrat se paya jata hai aur yeh janwar hai  chooha jisay rat aur mouse bhi kehte hain arrey aap to phir soch mein par gaye lagta hai aap ko sochnay ki bohat aadat hai. Aap yehi soch rahay hain na ke chooha insan ka sab se bara dushman kis tarhan hai to aiye hum betaye dete hain.

Aqwam mutahida ke aalmi idaara khoraak ki aik report ke mutabiq har saal duniya bhar mein peda honay wali kul khoraak ka paanch feesad choohay kha jatay hain is ke ilawa chuhe duniya bhar mein taqreeban 20 aqsam ki khatarnaak bimarion ko phelanay ka sabab bhi bantay hain, American hukoomat choohon ko mukhtalif zaraye se halaak karne ke liye har saal taqreeban 13 million dollar kharch kar rahi hai.

Ye insanon ke liye kitney khatarnaak hain is ka andaza sirf isi se lagaya ja sakta hai ke 1898 mein hindustan mein choohon ke baais phelnay wali taoon ki bemari se aik crore pachees laakh afraad halaak ho gaye thay. Is waqt bhi hindustan ke shehar bombay mein har saal 20 hazaar afraad choohon ke kaatnay se charhne walay bukhaar mein mubtala hotay hain muqami intizamia ne bombay mein 85 afraad ko choohay maarny ke kaam par mamoor kar rakha hai jin mein se aik fard har roz taqreeban 25 choohon ki jaan laita hai. Is ahmiyat ke paish e nazar America mein choohon ki zindagi par tehqiqaat ki gyi hain jin se barri dilchasp maloomat samnay aayi hain. tehqiqaat karne walon ke baqol choohon ki har colony khofnaak muqablay ka manzar paish karti nazar aati hai taaqatwar rats un ilaqon par qabza kar lete hain jin ke qareeb ghiza ba aasani aur kasrat se dastyab hoti hai aur ye choohay kamzor choohon ko wahan se bhagne par majboor kar dete hain. Tahqeeq ke mutabiq har chohiya aik saal mein taqreeban das bachon ko janam deti hai isay insan ki khush qismati kahain ke choohon ki zindagi aik saal se zayada nahi hoti warna yeh zameen mouse ki kasrat se tang ho jati.

Taham mouse jahan insanon ke liye itnay khatarnaak hain wahein woh insanon ke liye tamam janwaron se ziyada mufeed bhi hain example ke tor par is waqt duniya bhar mein mukhtalif insani bimarion ke ilaj ke silsilay mein tajarbaat ke liye chuhon ko istemal kiya ja raha hai sirf America mein 18 million rats ko tibbi aur nafsiyati mutalea ke liye istemal kiya is ke ilawa in inhen mukhtalif kartab dikhane ke liye bhi istemal kiya ja raha hai.

,

No comments:

Post a Comment