Mouse Killing Tips In Urdu Chuhe Bhagane Ka Tarika Chuha Kaise Bhagaye: Ye dekhney mein tou baray chotay hotay hain par ye aap ke ghar ghus jayain tou aap ka bohat nuqsan ho sakta hai aksar chuhey raat ko khanay ki talash mein atay hain kuch lchuhe bhagane ke liye rat killer ka istemal bhi kartay hain is ke ilawa mouse stickers bhi use kartay hain jo mere khayal se abhi tak ka behtareen tarikay hai is ke baray mein nechay aap parh saktay hain ye ab tou bazaar mein available hai pehle ye sirf europe se milta tha jese ke aap sub jantay hain ke har ghar choohon se kabhi na kabhi zaroor mutasir hota hai aur jab aisa hota hai to hum kayi nuskhe aur totke azmatay hain aaj aap ko chuhon se nijat ke tareeqe batatay hain.
Tamam Androoni o Bairooni Sorakh Band Kar Dein
Aap ko chahiye ke ghar ke andar aur bahar ke tamam sorakh band kar dein agar bairooni darwazay ke neechay thori si jagah hai to usay fori tor par band karen, kahin se deewar tooti hui hai to usay band kar dein gharz ke koi bhi sorakh khula na chorain ke ye choohon ko ghar mein daakhil honay mein madad karte hain.
Ghar Ko Saaf Rakhen
Aap ko chahiye ke bawarchi khanay ya kisi aur jagah par khanay peenay ki koi cheez na rakhain ke chuhay un ki janib mutwajah ho kar aap ke ghar mein dakhil hotay hain tamam bachay khuche khanay ko koray daan mein dalain ya fridge mein mehfooz rakhen.
Safai Ki Taraf Khas Tawaja Dain
Koshish karen ke kura kisi bhi soorat mein ghar mein na rakha jaye balkay mauqa paate hi usay ghar se daur rakhen taa ke mouse ghar mein na ayen.
Peppermint Oil Ka Istemal
Is tail ki khusbhoo chuhon ko achi nahi lagti lehaza is ka istemal karein rui mein peppermint tail ke chand qatray laga kar usay wahan rakhen jahan se rat ka ghar mein dakhil honay ka khadsha hota hai aap chahain to peppermint plant apne ghar mein rakh satke hain, is se bhi chuhe ghar mein dakhil nahi hon ge.
Electronic Masnuaat
Kuch electronic masnuaat aisi hoti hain jin ki awaz se chuhay ghar mein dakhil nahi hotay lekin yeh nuskha tab tak kargar hai jab tak rats un awazon se manoos nahi ho jatay.
Mouse Trap Lagayen
Aap ko chahiye ke chuhe pakarne ke liye trap ka istemal karain bazaar mein aisay trap ba asani dastyab hain jin se aap mouse ko pakar satke hain.
Mouse Sticky Pads
Mouse killing tips mein ye sub se behtareen tip hai mouse sticky pads kya kaam kartay hain? ye woh stickers hotay hain jinhain aap ghar ke un hison par rakhtay hain jahan aap ko lage ke chuhey aa sakte hain is ka faida ye hai ke aap ko inhain pakarnay ke liye ya chuhe marne ke liye mehnat nahin karni paray gi aap bas ye stickers kaat kaat kar apne ghar ki khidkiyon mein, khas tor par kitchen ki windows mein aur darwazon aur har un jaghon par rakh saktay hain jahan chuhay atay hain jese hi chuha sticker se guzarne lage ga wo is ke sath chiipak jaye ga aur khud ko mouse sticky pad se alag nahin kar sakay ga aap us pad ko pakar kar ghar se door kahin phenk dain is tarah se mouse sticky pads aap ke ghar se chuhon ka khatma karta hai ye chuhe marne ka tarika bohat hi asan hai is liye bazaar se milnay wali chuhe marne ki dawa ki ab koi zaroorat nahin rahi.
Janwaron Ki Madad
Aap chahain to ghar mein billi ya kutta rakh satke hain in janwaron ki maujoodgi mein chuhe ghar mein dakhil honay se ghabrate hain.
Maine koshish ki ke naye se naya tarika aap ko bataon aap in mein se koi bhi apni zaroorat aur pasand ke hisab se muntakhib kar ke apne khubsurat rehnay ke muqam ko aur bhi khubsurat bana sakte hain is se aap ko sehat ke sath sath safai bhi milay gi jo behtareen zindagi ke liye bunyadi zarooriyat mein se hain.
How To
,
Tips
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment