Barsat Ka Mausam Essay In Urdu: Barsaat ka pehla din tha aur barish bohat taiz ho rahi thi kamray ki chhat charon taraf se beh rahi thi. Koi bhi aisa tareeqa nahi tha jis se pani ko roka ja sakay main samnay baramday mein betha is khobsorat manzar ke nazary le raha tha aur samnay mojood harey bharay khaiton par padti taiz barish ko bohat ghhor se dekh raha tha.
Badalon ne bhi aasman ko is terhan dhaka howa tha ke subah ke 10 baj rahay they aur aisa lag raha tha jaisay abhi raat honay wali hai main is khobsorat aur dilkash manzar mein kho gaya tha najaney yeh manzar mujhe kon si duniya mein le gaya tha jahan se wapas anay ko dil hi nahin kar raha tha. Har taraf khamoshi hi khamoshi chhai hui thi aur barish ki woh rim jhim aur taiz barish ki tup tup parney wali boundon ki awaz aik alag hi lutf day rahi thi.
Bohat thandhi thandhi howa bhi chal rahi thi aur mein baramday mein betha sardi se thathar raha tha. Chunkay kamray mein to barish ka pani musalsal anay ki wajah se kamray ka sara samaan bheeg chuka tha is liye ab koi lehaaf bhi nahi tha ke jis ko mein ourh kar sardi se bach sakun.
Barish ka aisa mosam ho aur garam garam chaye na ho garam samose na hon, garam pakodey na hon aisa kaisay ho sakta hai in ke baghair to yeh mosam adhoora reh jata hai lekin us waqt na bijli a rahi thi aur nah hi gas.
Kehte hain har insan ka aik pasandida mausam hota hai aur mujhe tou mausam e barsat bara pasand hai in barishon mein khanay peenay ka bhi alag hi maza hai log terhan terhan ke ihtimaam karte hain mujhe aaj taq yaad hai aaj se aik aadh saal pehle mein aik muqami park mein doston ke sath maujood tha aur chaye peene mein masroof tha ke achanak barish ho gayi aur woh bhi theek thaak us barish ke tufail us chai mein achi khasi barkat ho gayi lekin phir bhi mein ney chai ko chorra nahi aur us chaye ney itna lutaf diya ke aaj bhi yaad aati hai.
Barkha ki jharri kay sath jahan mausam badalny lagta hai wahan mood bhi acha honay lagta hai aisay mein hamaray puranay mosiqaron ke geet agar yaad anay lagey to unki aawazian kaanon mein jaisay ras gholnay lagti hain aisay hi bohat se geet mere zehan mein aa rahe thay.
Barishon mein mausam kay sath sath mood bhi khush gawar ho jata hai aisay mein moseeqi ka jaadoo sir charh kar bolta hai. Barkha rut mein mausam suhana ho gaya ghanghoor ghatain kya barsi har cheez nikhri hoi saaf nazar arahi thi bhega bhega mausam manchala ho gaya jahan phool paton aur darakhton ney sawan mein jhoomna shuru kiya wahein labon par khud bakhud sawam ke geet anay lagey.
Essay
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment