Sailaab Ki Tabah Kariyan Essay In Urdu Flood In Pakistan: Selaab aik qudrati aafat hai umooman musalsal aur
musladhar barish is ka sabab bana karti hai jab barish zaroorat se ziyada hoti
hai aur zameen mein pani peenay ki mazeed gunjaish nahi rehti to yeh pani idher
udhar beh nikalta hai. Pani jama karne ke zakhair pur ho jaien to zayed pani
sailab ki shakal mein daryaon aur nehron ke dahane tor kar faslon aur abadiyon mein daakhil ho jata hai.
Pakistan mein selaab un qudrati afaat mein se aik hai jin ka nuqsaan sab se
ziyada hota hai. Sirf guzashta paanch chay saloon mein selaab ke baais be ghar
aur mutasir honay walay afraad ki tadaad dekhi jaye to yeh 4 crore taq
poanch jaye gi.
Pakistan ki pichli tareekh mein selab ki tabah kariyan itni
holnaak nahin. Is ki aik barri
wajah yeh hai ke hamaray parosi mulk bharat ne jahan hamaray kayi daryaon ke
dhanay hain, bari tadad mein daryaon par dam bana liye hain. Pehlay jab un
daryaon mein sailaab aata tha to bharti alaqa bhi us se mutasir hota tha magar
un damon ki tameer ke baad bharat ne apni sarzameen mein sailabon par bari had
tak qaboo pa liya hai. Wahan kayi dinon ki mutawatar barish ke baad bhi pani
zakheera karne ki gunjaish rehti hai jab dam pur ho jatay hain to bharat ki
taraf se zayed pani chorr diya jata hai jab yeh pani Pakistani alaqay mein dakhil
hota hai tou yahan pani zakheera karne ka intizam nahin hota jis ki wajah se ye
pani sailaab ki shakal ikhtiyar kar ke ird gird ki aabadiyon mein tabahi macha
deta hai.
Yeh baat to un
sailaabon ki hai jo Bharat se Pakistan mein daakhil honay walay daryaon mein atay hain,
magar haqeeqat yeh hai ke is ke siwa bhi hamari haalat kharab hai. Darya e Sindh
, Bharti ilaqay se nahin guzarta, magar selaab yahan bhi aata hai aur baray zoor
ka jis se Khyber pakhtunkhwa sameit hamaray 3 soobay mutasir hotay hain. Yahan
hum kisi aur ko ilzaam nahi de satke hum ne tarbeela dem ke baad itnay barray
aabi dhaaray par koi bara dam nahi banaya. Kala bagh dam arbon ke kharchay ke
baad iftitahi marhalay ke qareeb pohanch kar siyasi mufadaat ki nazar ho gya is
qisam ka koi dusra mansoobah bhi guzashta teen ashron mein shuru nahi kiya ja saka
nateeja yahi nikal sakta tha ke hum pani ke dharon ki lapait mein atay. Haqeeqat
yeh hai ke hum ne selaab se jitne nuqsanaat uthaye hain aur un ki talaafi ke
liye hamein imdaad maang maang kar jitna kharcha karna parra hai is se nisf
akhrajaat mein hum baray baray dam bana sakte thay.
yeh daawa koi nahi karsaktha ke aabi zakhair banakar hum qudrati afaat se
mehfooz ho jaien ge, aasmani afaat ka bohat bara sabab hamaray aamaal hotay
hain. duniya ki barri barri taraqqi Yafta qoumain aaj bhi selaab aur zlzlon ka
shikaar hoti hain. taham hukoomat aur riyasat ki zimma daari banti hai ke woh
zameeni aur scienci haqayiq ko samnay rakhtay hue, hsbِ zaroorat taweel almead mansoobah bandi
kere aur apni awam ko is qisam ki sorat e haal mein mehfooz rakhnay ki hatta
almaqdoor koshish kere .
Essay
No comments:
Post a Comment