Saas Ka Dil Jeetne Ka Tarika 8 Tips Saas Bahu Ke Ache Rishta Ke Liye

Saas Ka Dil Jeetne Ka Tarika In Urdu Hindi - Saas Ko Kaise Khush Rakhe: Shadi ka sab se bara challenge sasural walon ke sath ache taluqaat qaim rakhna hota hai khaas tor se larki is muamlay mein ziyada mushkilaat ka saamna karti hai kyun ke usay aik naye ghar mein jaa kar naye logon ke sath rehna hota hai. Baaz auqaat chhootey chhootey maslay barray bantay jatay hain aur shadi shuda zindagi ko dushwaar bana dete hain.

Saas aur baho ka rishta bhi aik bara naazuk rishta hai jahan saas ko ghar mein aik nai aur intahi ahem rukan ko qubool karna hota hai, wahein bahu ko us naye ghar mein apni jagah banani hoti hai aisay mein ghalat fehmiyan aasani se janam le sakti hain. Khushgawar zindagi basar karne ke liye in donon ko aik dosray ko samajhney aur qubool karne ki zaroorat hoti hai. Yahan hum nayi dulhan ko chand aisi tarkeeb batatay hain jin se dulhan apni saas ka dil jeetnay mein kamyaab ho sakti hai.


1. Unhein Samajhney Ki Koshish Karen

Saas ki position ko samajhney ki koshish karain jis ne din raat aik kar ke apni aulad ki parwarish ki ho, woh is ko le kar kabhi thora hassas ho bhi jaye to is mein koi taajub ki baat nahi aisay mein aap apni saas ke muqablay par anay ki koshish karne ki bajaye thori samajh dari se kaam lain. Misaal ke tor par agar aap ki saas aap se kahain ke un ka beta un ke khanay ko kitna pasand karta hai to naraaz na hon balkay khud bhi un ki aur un ke khaano ki tareef karain.


2. Tohfay Dain

Tohfay kisi bhi rishte ko khobsorat aur mazboot bana dete hain. Tohfa dainay ke liye kisi khaas moqay ka intzaar na karen balkay kisi na kisi bahanay se apni saas ke liye koi tohfa khareedain chahe koi choti si hi cheez kyun na ho. Ahem tareekhen jaisay saalgirah, shadi ki saalgirah waghera yaad rakhen aur apne shohar ko bhi yaad karayain.

3. Mahswara Lainay Mein Koi Harj Nahi
Har saas chahti hai ke us ke tajarbay ko tasleem kiya jaye khud mukhtaar hona achi baat hai lekin baaz auqat barron ko un ki ahmiyat jatanay ke liye hi un se mahswara kar liya jaye to is mein koi buri baat nahi, aap ki privacy apni jagah lekin agar baaz kamon mein jaisay kamray ki araish, khana pakanay ya kapron ke intikhab mein apni saas ki raye ko shaamil kar liya jaye to is se na sirf saas khush ho jayain gi balkay mumkin hai aap ko bhi kuch seekhnay ka mauqa mil jaye.

4. Izzat o Ehtram Zaroori Hai
Kisi bhi rishte mein izzat o ehtram sab se ahem hota hai jis tarhan hum apne walidain ya ghar ke buzurgon ka ehtram karte hain, isi terhan apni saas ko bhi izzat den balkay unhen is baat ka ehsas dilayain ke aap un ka ehtram karti hain.

5. Soch Achi Rakhain 
Baaz auqaat in rishton mein ghalat fehmiyan janam lainay lagti hain zurori nahi ke saas ki kahi hui har baat tana ya tanqeed hi ho apni soch ko musbat rakhnay ki koshish karen is terhan aap khud bhi par sukoon rahain gi. Har waqt yeh sochte rehna ke koi aap ke khilaaf saazish kar raha hai khud ko hi nuqsaan pohanchata hai.


6. Baat Cheet Se Maslay Suljhayain

Aap jitni koshish karen kabhi nah kabhi koi aisi baat ho hi jati hai jis se ranjish ya doori peda honay ka khatrah ho agar aap ko apni saas ki koi baat pasand nahi aayi ya woh kisi baat par aap se naraaz ho gayi hain to un se baat karne ki koshish karen. un ki baat sunen aur phir apni position wazeh karen. Yeh tawaqqa na rakhen ke mamlaat foran normal ho jayen ge unhein aur khud ko waqt dain.

7. Maa Nahi To Dost Bana Lain
Har insaan mukhtalif soch aur mizaaj rakhta hai har ghar ka mahool bhi mukhtalif hota hai shayad shuru ke dinon mein aap ko maa jaisi shafqat apni saas mein nazar na aye lekin apne tor unhen wohi darja dainay ki koshish karen jo ghar mein aap apni maa ko deti hain. Agar yeh bhi mumkin na ho to un se dosti karne ki koshish karen. Apni saas se un ke bachpan aur pasand na pasand ke baare mein baat karen mumkin hai is terhan aap ka rishta mazboot ho sakay.


8. Bachon Ko Thora Bigarne Dain

Baaz bahuron ko lagta hai ke un ke bachay dadi se apni zidain poori kerwatay hain jo un ke liye theek nahi. Dada dadi hon ya nana nani baaz auqaat apne bachon se bhi zayada bachon ke bachon se mohabbat karne lagtay hain ho sakta hai aap ki saas bachon ko khush karne ke liye aik waqt mein itni chocolate day den jitni aap umooman dena sahi nahi samjhti hon. Lekin jo mohabbat unhen in rishton se miley gi woh is thori bad ahteyati se kayi guna ahem hai.

Har rishta waqt aur mehnat mangta hai zahir hai yeh mehnat dono taraf se darkaar hoti hai lekin kyun nah aisa ho ke is janib pehla qadam aap uthayen.


,

No comments:

Post a Comment