Saas Ka Dil Jeetne Ka Tarika 8 Tips Saas Bahu Ke Ache Rishta Ke Liye

Saas Ka Dil Jeetne Ka Tarika In Urdu Hindi - Saas Ko Kaise Khush Rakhe: Shadi ka sab se bara challenge sasural walon ke sath ache taluqaat qaim rakhna hota hai khaas tor se larki is muamlay mein ziyada mushkilaat ka saamna karti hai kyun ke usay aik naye ghar mein jaa kar naye logon ke sath rehna hota hai. Baaz auqaat chhootey chhootey maslay barray bantay jatay hain aur shadi shuda zindagi ko dushwaar bana dete hain.

Saas aur baho ka rishta bhi aik bara naazuk rishta hai jahan saas ko ghar mein aik nai aur intahi ahem rukan ko qubool karna hota hai, wahein bahu ko us naye ghar mein apni jagah banani hoti hai aisay mein ghalat fehmiyan aasani se janam le sakti hain. Khushgawar zindagi basar karne ke liye in donon ko aik dosray ko samajhney aur qubool karne ki zaroorat hoti hai. Yahan hum nayi dulhan ko chand aisi tarkeeb batatay hain jin se dulhan apni saas ka dil jeetnay mein kamyaab ho sakti hai.


1. Unhein Samajhney Ki Koshish Karen

Saas ki position ko samajhney ki koshish karain jis ne din raat aik kar ke apni aulad ki parwarish ki ho, woh is ko le kar kabhi thora hassas ho bhi jaye to is mein koi taajub ki baat nahi aisay mein aap apni saas ke muqablay par anay ki koshish karne ki bajaye thori samajh dari se kaam lain. Misaal ke tor par agar aap ki saas aap se kahain ke un ka beta un ke khanay ko kitna pasand karta hai to naraaz na hon balkay khud bhi un ki aur un ke khaano ki tareef karain.


2. Tohfay Dain

Tohfay kisi bhi rishte ko khobsorat aur mazboot bana dete hain. Tohfa dainay ke liye kisi khaas moqay ka intzaar na karen balkay kisi na kisi bahanay se apni saas ke liye koi tohfa khareedain chahe koi choti si hi cheez kyun na ho. Ahem tareekhen jaisay saalgirah, shadi ki saalgirah waghera yaad rakhen aur apne shohar ko bhi yaad karayain.

3. Mahswara Lainay Mein Koi Harj Nahi
Har saas chahti hai ke us ke tajarbay ko tasleem kiya jaye khud mukhtaar hona achi baat hai lekin baaz auqat barron ko un ki ahmiyat jatanay ke liye hi un se mahswara kar liya jaye to is mein koi buri baat nahi, aap ki privacy apni jagah lekin agar baaz kamon mein jaisay kamray ki araish, khana pakanay ya kapron ke intikhab mein apni saas ki raye ko shaamil kar liya jaye to is se na sirf saas khush ho jayain gi balkay mumkin hai aap ko bhi kuch seekhnay ka mauqa mil jaye.

4. Izzat o Ehtram Zaroori Hai
Kisi bhi rishte mein izzat o ehtram sab se ahem hota hai jis tarhan hum apne walidain ya ghar ke buzurgon ka ehtram karte hain, isi terhan apni saas ko bhi izzat den balkay unhen is baat ka ehsas dilayain ke aap un ka ehtram karti hain.

5. Soch Achi Rakhain 
Baaz auqaat in rishton mein ghalat fehmiyan janam lainay lagti hain zurori nahi ke saas ki kahi hui har baat tana ya tanqeed hi ho apni soch ko musbat rakhnay ki koshish karen is terhan aap khud bhi par sukoon rahain gi. Har waqt yeh sochte rehna ke koi aap ke khilaaf saazish kar raha hai khud ko hi nuqsaan pohanchata hai.


6. Baat Cheet Se Maslay Suljhayain

Aap jitni koshish karen kabhi nah kabhi koi aisi baat ho hi jati hai jis se ranjish ya doori peda honay ka khatrah ho agar aap ko apni saas ki koi baat pasand nahi aayi ya woh kisi baat par aap se naraaz ho gayi hain to un se baat karne ki koshish karen. un ki baat sunen aur phir apni position wazeh karen. Yeh tawaqqa na rakhen ke mamlaat foran normal ho jayen ge unhein aur khud ko waqt dain.

7. Maa Nahi To Dost Bana Lain
Har insaan mukhtalif soch aur mizaaj rakhta hai har ghar ka mahool bhi mukhtalif hota hai shayad shuru ke dinon mein aap ko maa jaisi shafqat apni saas mein nazar na aye lekin apne tor unhen wohi darja dainay ki koshish karen jo ghar mein aap apni maa ko deti hain. Agar yeh bhi mumkin na ho to un se dosti karne ki koshish karen. Apni saas se un ke bachpan aur pasand na pasand ke baare mein baat karen mumkin hai is terhan aap ka rishta mazboot ho sakay.


8. Bachon Ko Thora Bigarne Dain

Baaz bahuron ko lagta hai ke un ke bachay dadi se apni zidain poori kerwatay hain jo un ke liye theek nahi. Dada dadi hon ya nana nani baaz auqaat apne bachon se bhi zayada bachon ke bachon se mohabbat karne lagtay hain ho sakta hai aap ki saas bachon ko khush karne ke liye aik waqt mein itni chocolate day den jitni aap umooman dena sahi nahi samjhti hon. Lekin jo mohabbat unhen in rishton se miley gi woh is thori bad ahteyati se kayi guna ahem hai.

Har rishta waqt aur mehnat mangta hai zahir hai yeh mehnat dono taraf se darkaar hoti hai lekin kyun nah aisa ho ke is janib pehla qadam aap uthayen.

Sailaab Ki Tabah Kariyan Essay In Urdu Flood In Pakistan Selab Par Mazmoon

Sailaab Ki Tabah Kariyan Essay In Urdu Flood In Pakistan: Selaab aik qudrati aafat hai umooman musalsal aur musladhar barish is ka sabab bana karti hai jab barish zaroorat se ziyada hoti hai aur zameen mein pani peenay ki mazeed gunjaish nahi rehti to yeh pani idher udhar beh nikalta hai. Pani jama karne ke zakhair pur ho jaien to zayed pani sailab ki shakal mein daryaon aur nehron ke dahane tor kar faslon aur abadiyon mein daakhil ho jata hai. Pakistan mein selaab un qudrati afaat mein se aik hai jin ka nuqsaan sab se ziyada hota hai. Sirf guzashta paanch chay saloon mein selaab ke baais be ghar aur mutasir honay walay afraad ki tadaad dekhi jaye to yeh 4 crore taq poanch jaye gi.

Pakistan ki pichli tareekh mein selab ki tabah kariyan itni holnaak nahin. Is ki aik barri wajah yeh hai ke hamaray parosi mulk bharat ne jahan hamaray kayi daryaon ke dhanay hain, bari tadad mein daryaon par dam bana liye hain. Pehlay jab un daryaon mein sailaab aata tha to bharti alaqa bhi us se mutasir hota tha magar un damon ki tameer ke baad bharat ne apni sarzameen mein sailabon par bari had tak qaboo pa liya hai. Wahan kayi dinon ki mutawatar barish ke baad bhi pani zakheera karne ki gunjaish rehti hai jab dam pur ho jatay hain to bharat ki taraf se zayed pani chorr diya jata hai jab yeh pani Pakistani alaqay mein dakhil hota hai tou yahan pani zakheera karne ka intizam nahin hota jis ki wajah se ye pani sailaab ki shakal ikhtiyar kar ke ird gird ki aabadiyon mein tabahi macha deta hai.

Yeh baat to un sailaabon ki hai jo Bharat se Pakistan mein daakhil honay walay daryaon mein atay hain, magar haqeeqat yeh hai ke is ke siwa bhi hamari haalat kharab hai. Darya e Sindh , Bharti ilaqay se nahin guzarta, magar selaab yahan bhi aata hai aur baray zoor ka jis se Khyber pakhtunkhwa sameit hamaray 3 soobay mutasir hotay hain. Yahan hum kisi aur ko ilzaam nahi de satke hum ne tarbeela dem ke baad itnay barray aabi dhaaray par koi bara dam nahi banaya. Kala bagh dam arbon ke kharchay ke baad iftitahi marhalay ke qareeb pohanch kar siyasi mufadaat ki nazar ho gya is qisam ka koi dusra mansoobah bhi guzashta teen ashron mein shuru nahi kiya ja saka nateeja yahi nikal sakta tha ke hum pani ke dharon ki lapait mein atay. Haqeeqat yeh hai ke hum ne selaab se jitne nuqsanaat uthaye hain aur un ki talaafi ke liye hamein imdaad maang maang kar jitna kharcha karna parra hai is se nisf akhrajaat mein hum baray baray dam bana sakte thay.


yeh daawa koi nahi karsaktha ke aabi zakhair banakar hum qudrati afaat se mehfooz ho jaien ge, aasmani afaat ka bohat bara sabab hamaray aamaal hotay hain. duniya ki barri barri taraqqi Yafta qoumain aaj bhi selaab aur zlzlon ka shikaar hoti hain. taham hukoomat aur riyasat ki zimma daari banti hai ke woh zameeni aur scienci haqayiq ko samnay rakhtay hue, hsbِ zaroorat taweel almead mansoobah bandi kere aur apni awam ko is qisam ki sorat e haal mein mehfooz rakhnay ki hatta almaqdoor koshish kere .

Barsat Ka Mausam Essay Urdu Barsat Ka Pehla Din In Hindi Aik Din Barsaat Ka

Barsat Ka Mausam Essay In Urdu: Barsaat ka pehla din tha aur barish bohat taiz ho rahi thi kamray ki chhat charon taraf se beh rahi thi. Koi bhi aisa tareeqa nahi tha jis se pani ko roka ja sakay main samnay baramday mein betha is khobsorat manzar ke nazary le raha tha aur samnay mojood harey bharay khaiton par padti taiz barish ko bohat ghhor se dekh raha tha.

Badalon ne bhi aasman ko is terhan dhaka howa tha ke subah ke 10 baj rahay they aur aisa lag raha tha jaisay abhi raat honay wali hai main is khobsorat aur dilkash manzar mein kho gaya tha najaney yeh manzar mujhe kon si duniya mein le gaya tha jahan se wapas anay ko dil hi nahin kar raha tha. Har taraf khamoshi hi khamoshi chhai hui thi aur barish ki woh rim jhim aur taiz barish ki tup tup parney wali boundon ki awaz aik alag hi lutf day rahi thi.

Bohat thandhi thandhi howa bhi chal rahi thi aur mein baramday mein betha sardi se thathar raha tha. Chunkay kamray mein to barish ka pani musalsal anay ki wajah se kamray ka sara samaan bheeg chuka tha is liye ab koi lehaaf bhi nahi tha ke jis ko mein ourh kar sardi se bach sakun.

Barish ka aisa mosam ho aur garam garam chaye na ho garam samose na hon, garam pakodey na hon aisa kaisay ho sakta hai in ke baghair to yeh mosam adhoora reh jata hai lekin us waqt na bijli a rahi thi aur nah hi gas.

Kehte hain har insan ka aik pasandida mausam hota hai aur mujhe tou mausam e barsat bara pasand hai in barishon mein khanay peenay ka bhi alag hi maza hai log terhan terhan ke ihtimaam karte hain mujhe aaj taq yaad hai aaj se aik aadh saal pehle mein aik muqami park mein doston ke sath maujood tha aur chaye peene mein masroof tha ke achanak barish ho gayi aur woh bhi theek thaak us barish ke tufail us chai mein achi khasi barkat ho gayi lekin phir bhi mein ney chai ko chorra nahi aur us chaye ney itna lutaf diya ke aaj bhi yaad aati hai.

Barkha ki jharri kay sath jahan mausam badalny lagta hai wahan mood bhi acha honay lagta hai aisay mein hamaray puranay mosiqaron ke geet agar yaad anay lagey to unki aawazian kaanon mein jaisay ras gholnay lagti hain aisay hi bohat se geet mere zehan mein aa rahe thay.

Barishon mein mausam kay sath sath mood bhi khush gawar ho jata hai aisay mein moseeqi ka jaadoo sir charh kar bolta hai. Barkha rut mein mausam suhana ho gaya ghanghoor ghatain kya barsi har cheez nikhri hoi saaf nazar arahi thi bhega bhega mausam manchala ho gaya jahan phool paton aur darakhton ney sawan mein jhoomna shuru kiya wahein labon par khud bakhud sawam ke geet anay lagey.

Chuhe Marne Ka Tarika Urdu Mouse Killing Tips Chuhe Bhagane Ka Tarika Hindi

Mouse Killing Tips In Urdu Chuhe Bhagane Ka Tarika Chuha Kaise Bhagaye: Ye dekhney mein tou baray chotay hotay hain par ye aap ke ghar ghus jayain tou aap ka bohat nuqsan ho sakta hai aksar chuhey raat ko khanay ki talash mein atay hain kuch lchuhe bhagane ke liye rat killer ka istemal bhi kartay hain is ke ilawa mouse stickers bhi use kartay hain jo mere khayal se abhi tak ka behtareen tarikay hai is ke baray mein nechay aap parh saktay hain ye ab tou bazaar mein available hai pehle ye sirf europe se milta tha jese ke aap sub jantay hain ke har ghar choohon se kabhi na kabhi zaroor mutasir hota hai aur jab aisa hota hai to hum kayi nuskhe aur totke azmatay hain aaj aap ko chuhon se nijat ke tareeqe batatay hain.

Tamam Androoni o Bairooni Sorakh Band Kar Dein
Aap ko chahiye ke ghar ke andar aur bahar ke tamam sorakh band kar dein agar bairooni darwazay ke neechay thori si jagah hai to usay fori tor par band karen, kahin se deewar tooti hui hai to usay band kar dein gharz ke koi bhi sorakh khula na chorain ke ye choohon ko ghar mein daakhil honay mein madad karte hain.

Ghar Ko Saaf Rakhen
Aap ko chahiye ke bawarchi khanay ya kisi aur jagah par khanay peenay ki koi cheez na rakhain ke chuhay un ki janib mutwajah ho kar aap ke ghar mein dakhil hotay hain tamam bachay khuche khanay ko koray daan mein dalain ya fridge mein mehfooz rakhen.

Safai Ki Taraf Khas Tawaja Dain
Koshish karen ke kura kisi bhi soorat mein ghar mein na rakha jaye balkay mauqa paate hi usay ghar se daur rakhen taa ke mouse ghar mein na ayen.

Peppermint Oil Ka Istemal
Is tail ki khusbhoo chuhon ko achi nahi lagti lehaza is ka istemal karein rui mein peppermint tail ke chand qatray laga kar usay wahan rakhen jahan se rat ka ghar mein dakhil honay ka khadsha hota hai aap chahain to peppermint plant apne ghar mein rakh satke hain, is se bhi chuhe ghar mein dakhil nahi hon ge.

Electronic Masnuaat
Kuch electronic masnuaat aisi hoti hain jin ki awaz se chuhay ghar mein dakhil nahi hotay lekin yeh nuskha tab tak kargar hai jab tak rats un awazon se manoos nahi ho jatay.

Mouse Trap Lagayen
Aap ko chahiye ke chuhe pakarne ke liye trap ka istemal karain bazaar mein aisay trap ba asani dastyab hain jin se aap mouse ko pakar satke hain.

Mouse Sticky Pads
Mouse killing tips mein ye sub se behtareen tip hai mouse sticky pads kya kaam kartay hain? ye woh stickers hotay hain jinhain aap ghar ke un hison par rakhtay hain jahan aap ko lage ke chuhey aa sakte hain is ka faida ye hai ke aap ko inhain pakarnay ke liye ya chuhe marne ke liye mehnat nahin karni paray gi aap bas ye stickers kaat kaat kar apne ghar ki khidkiyon mein, khas tor par kitchen ki windows mein aur darwazon aur har un jaghon par rakh saktay hain jahan chuhay atay hain jese hi chuha sticker se guzarne lage ga wo is ke sath chiipak jaye ga aur khud ko mouse sticky pad se alag nahin kar sakay ga aap us pad ko pakar kar ghar se door kahin phenk dain is tarah se mouse sticky pads aap ke ghar se chuhon ka khatma karta hai ye chuhe marne ka tarika bohat hi asan hai is liye bazaar se milnay wali chuhe marne ki dawa ki ab koi zaroorat nahin rahi.

Janwaron Ki Madad
Aap chahain to ghar mein billi ya kutta rakh satke hain in janwaron ki maujoodgi mein chuhe ghar mein dakhil honay se ghabrate hain.

Maine koshish ki ke naye se naya tarika aap ko bataon aap in mein se koi bhi apni zaroorat aur pasand ke hisab se muntakhib kar ke apne khubsurat rehnay ke muqam ko aur bhi khubsurat bana sakte hain is se aap ko sehat ke sath sath safai bhi milay gi jo behtareen zindagi ke liye bunyadi zarooriyat mein se hain.